पेट आदमी को तरह-तरह के आदमियों में बाँट देता है
और फिर उनके साथ चस्पाँ हो जाती है
तरह-तरह की नैतिकताएँ
कर्त्तव्य, देश, राष्ट्र, शांति-व्यवस्था की विस्मयकारी कथाएँ
आदमी के इस बँटवारे की एक ख़ास पहचान है वर्दी
जो शुरू के दिनों में उत्तेजक लगते हुए भी
अजीब लगती है
बेहद कष्टप्रद, एक जैसे मोटे ख़ाकी कपड़ों को चढ़ाना
पट्टा कसना, नंबर चिपकाना
जैसे हवा को बोतल में बंद कर दे पहाड़ की चुप्पी
पिता उससे कहते मूँछ रखना शुरू कर दो रोब पड़ेगा
और वह वर्दी में साइकिल पर सवार
अपने को बिजूका समझता
निकलता है सकुचता पहली बार
और फिर धीरे-धीरे वर्दी उसकी देह का हिस्सा बन जाती है
जैसे वह वर्दी पहनकर ही पैदा हुआ
फिर और कुछ दिनों बाद वर्दी उसकी इज़्ज़त पहचान
और सब कुछ बन जाती है
अब चीज़ें फैलना शुरू कर देती हैं
और शक्लें बदलना
फैलने वाली चीज़ों में मूँछ-पेट
और साइकिल मोटर साइकिल में बदल जाती है
बीवी और बच्चों के लिए हव्वा खड़ा कर देते हैं वर्दी के हालात
बटन सही-सलामत है सीवन तो नहीं उधड़ी
कहीं कोई धब्बा दाग़ तो नहीं, शेर दहाड़ता है
प्रेस कड़क हो इतनी कि फ़्रिज़ पर केला गिरे तो कट जाए
वर्दी वाले की बीवी से ईर्ष्या करती हैं दीगर औरतें
वर्दी वाले के बच्चे से ख़ौफ़ खाते हैं दूसरे बच्चे
वर्दी वाले की अलग जमात बन चुकती है अलग बस्ती
अलग दुनिया एक दुखद बँटवारा
तिस पर बाहर के लोग समझते हैं कुबेर बसते हैं
वर्दी वालों के घरों में
पर आहिस्ता-आहिस्ता वर्दी खाने लगती है
आदमी के भीतर का मुलायम हिस्सा
सोखने लगती है आत्मा पर से बहता झरना
वर्दी वाले की बीवियाँ ढूँढ़ने लगती हैं अपने पति
बच्चे खोजते हैं अपने पिता और वे वर्दी को टटोलते रहते हैं
ख़ुद वर्दी वाला पूछता है अपने से आईने में एक दिन
कहाँ गया वह लड़का जो बीस साल पहले गुनगुनाता था
तलत महमूद के गाने कहाँ गया कोई जवाब नहीं मिलता
सिर्फ़ एक मुस्तैद छाया मंत्रोच्चार की तरह बड़बड़ाती है गालियाँ
जो किसी की समझ में नहीं आतीं।
pet adami ko tarah tarah ke adamiyon mein bant deta hai
aur phir unke sath chaspan ho jati hai
tarah tarah ki naitiktayen
karttawya, desh, rashtra, shanti wyawastha ki wismaykari kathayen
adami ke is bantware ki ek khas pahchan hai wardi
jo shuru ke dinon mein uttejak lagte hue bhi
ajib lagti hai
behad kashtaprad, ek jaise mote khaki kapDon ko chaDhana
patta kasana, nambar chipkana
jaise hawa ko botal mein band kar de pahaD ki chuppi
pita usse kahte moonchh rakhna shuru kar do rob paDega
aur wo wardi mein cycle par sawar
apne ko bijuka samajhta
nikalta hai sakuchta pahli bar
aur phir dhire dhire wardi uski deh ka hissa ban jati hai
jaise wo wardi pahankar hi paida hua
phir aur kuch dinon baad wardi uski izzat pahchan
aur sab kuch ban jati hai
ab chizen phailna shuru kar deti hain
aur shaklen badalna
phailne wali chizon mein moonchh pet
aur cycle motor cycle mein badal jati hai
biwi aur bachchon ke liye hawwa khaDa kar dete hain wardi ke halat
button sahi salamat hai siwan to nahin udhDi
kahin koi dhabba dagh to nahin, sher dahaDta hai
press kaDak ho itni ki friz par kela gire to kat jaye
wardi wale ki biwi se irshya karti hain digar aurten
wardi wale ke bachche se khauf khate hain dusre bachche
wardi wale ki alag jamat ban chukti hai alag basti
alag duniya ek dukhad bantwara
tis par bahar ke log samajhte hain kuber baste hain
wardi walon ke gharon mein
par ahista ahista wardi khane lagti hai
adami ke bhitar ka mulayam hissa
sokhne lagti hai aatma par se bahta jharna
wardi wale ki biwiyan DhunDhane lagti hain apne pati
bachche khojte hain apne pita aur we wardi ko tatolte rahte hain
khu wardi wala puchhta hai apne se aine mein ek din
kahan gaya wo laDka jo bees sal pahle gungunata tha
talat mahmud ke gane kahan gaya koi jawab nahin milta
sirf ek mustaid chhaya mantrochchar ki tarah baDbaDati hai galiyan
jo kisi ki samajh mein nahin atin

स्रोत :
पुस्तक : जहाँ थोड़ा-सा सूर्योदय होगा (पृष्ठ 169)
रचनाकार : चंद्रकांत देवताले
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.