एक लंबी यात्रा के बाद
एक लंबे स्वप्न में
कितनी दुश्चिंताएँ घेर लेती हैं
जिनसे पार होने को
एक उजाड़ जिजीविषा लिए
अप्रमेय ही बच पाया हूँ
संप्रेषण की आधुनिकता से
समृद्ध वर्तमान में
न कह पाने की विकलता लिए
अन्यतर नहीं जा सकता
अन्यतर जाना हमेशा
विलोम में जाना नहीं होता
विकर्षणों के समवेत स्वर में
जिसमें अपना कोई विगम
नहीं जोड़ पाता हूँ
तुम्हारी प्रतीति में इतना साम्य है कि
समय लगभग स्थिर है
मेरी उपस्थिति में इतना विरोधाभास कि
उसके वेग से चोटिल मैं
सदिश प्रवाह को कोसता हूँ
इस क्षरण होते समय में
आधे मन से पूरा सामर्थ्य
इकठ्ठा करता रहा
आधे विस्थापन से पूरी यात्रा
हमारी यात्राएँ पृथक हैं
पर सारी यात्राएँ
एक वृहद वृत्त का हिस्सा हैं
जिसका अन्वेषण यह सदी नहीं कर सकती।
ek lambi yatra ke baad
ek lambe svapn men
kitni dushchintayen gher leti hain
jinse paar hone ko
ek ujaaD jijivisha liye
apramey hi bach paya hoon
sampreshan ki adhunikta se
samriddh vartaman men
na kah pane ki vikalta liye
anyatar nahin ja sakta
anyatar jana hamesha
vilom mein jana nahin hota
vikarshnon ke samvet svar men
jismen apna koi vigam
nahin joD pata hoon
tumhari pratiti mein itna samya hai ki
samay lagbhag sthir hai
meri upasthiti mein itna virodhabhas ki
uske veg se chotil main
sadish pravah ko kosta hoon
is kshran hote samay men
aadhe man se pura samarthya
ikaththa karta raha
aadhe visthapan se puri yatra
hamari yatrayen prithak hain
par sari yatrayen
ek vrihad vritt ka hissa hain
jiska anveshan ye sadi nahin kar sakti.
ek lambi yatra ke baad
ek lambe svapn men
kitni dushchintayen gher leti hain
jinse paar hone ko
ek ujaaD jijivisha liye
apramey hi bach paya hoon
sampreshan ki adhunikta se
samriddh vartaman men
na kah pane ki vikalta liye
anyatar nahin ja sakta
anyatar jana hamesha
vilom mein jana nahin hota
vikarshnon ke samvet svar men
jismen apna koi vigam
nahin joD pata hoon
tumhari pratiti mein itna samya hai ki
samay lagbhag sthir hai
meri upasthiti mein itna virodhabhas ki
uske veg se chotil main
sadish pravah ko kosta hoon
is kshran hote samay men
aadhe man se pura samarthya
ikaththa karta raha
aadhe visthapan se puri yatra
hamari yatrayen prithak hain
par sari yatrayen
ek vrihad vritt ka hissa hain
jiska anveshan ye sadi nahin kar sakti.
स्रोत :
रचनाकार : मनीष कुमार यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.