कल फिर एक हत्या हुई
अजीब परिस्थितियों में।
मैं अस्पताल गया
लेकिन वह जगह अस्पताल नहीं थी।
वहाँ मैं डॉक्टर से मिला
लेकिन वह आदमी डॉक्टर नहीं था।
उसने नर्स से कुछ कहा।
लेकिन वह स्त्री नर्स नहीं थी।
फिर वे ऑपरेशन-रूम में गए
लेकिन वह जगह ऑपरेशन-रूम नहीं थी।
वहाँ बेहोश करनेवाला डॉक्टर
पहले ही से मौजूद था—मगर वह भी
दरअसल कोई और था।
फिर वहाँ एक अधमरा बच्चा लाया गया
जो बीमार नहीं, भूखा था।
डॉक्टर ने मेज़ पर से।
ऑपरेशन का चाक़ू उठाया
मगर वह चाक़ू नहीं
जंग लगा भयानक छुरा था।
छुरे को बच्चे के पेट में भोंकते हुए उसने कहा
अब यह बिल्कुल ठीक हो जाएगा।
kal phir ek hattya hui
ajib paristhitiyon mein
main aspatal gaya
lekin wo jagah aspatal nahin thi
wahan main doctor se mila
lekin wo adami doctor nahin tha
usne nurse se kuch kaha
lekin wo istri nurse nahin thi
phir we operation room mein gaye
lekin wo jagah operation room nahin thi
wahan behosh karnewala doctor
pahle hi se maujud tha—magar wo bhi
darasal koi aur tha
phir wahan ek adhamra bachcha laya gaya
jo bimar nahin, bhukha tha
doctor ne mez par se
operation ka chaqu uthaya
magar wo chaqu nahin
jang laga bhayanak chhura tha
chhure ko bachche ke pet mein bhonkte hue usne kaha
ab ye bilkul theek ho jayega
kal phir ek hattya hui
ajib paristhitiyon mein
main aspatal gaya
lekin wo jagah aspatal nahin thi
wahan main doctor se mila
lekin wo adami doctor nahin tha
usne nurse se kuch kaha
lekin wo istri nurse nahin thi
phir we operation room mein gaye
lekin wo jagah operation room nahin thi
wahan behosh karnewala doctor
pahle hi se maujud tha—magar wo bhi
darasal koi aur tha
phir wahan ek adhamra bachcha laya gaya
jo bimar nahin, bhukha tha
doctor ne mez par se
operation ka chaqu uthaya
magar wo chaqu nahin
jang laga bhayanak chhura tha
chhure ko bachche ke pet mein bhonkte hue usne kaha
ab ye bilkul theek ho jayega
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 96)
रचनाकार : कुँवर नारायण
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.