शहर के बीचों-बीच
एक नदी बहती थी
मुझे याद है छोटा-सा शहर था वह
और बहुत बड़ी थी नदी...विशाल, गहरी
हम नदी के पास बैठते चुपचाप
प्रेम में आकंठ डूबे
नदी की गीली पीठ पर लिखते
एक-दूसरे का नाम
नदी हममें गाती
और हम
भीगते रहते थे
हम भीगते थे उसके आकाश,
हरी पहाड़ियों, पेड़ों के प्रतिबिंब वाले
नीले-हरे जल में
अतिशय प्रेम में
ईर्ष्या कौंधती कभी
कई बार हमारे झगड़े होते
कई बार हम
एक-दूसरे को धिक्कारते, कोसते
कई-कई बार टूटते हम
पर
नदी ठहरी रही थी भीतर
सुनती रही थी चुपचाप
हमारे अनर्गल प्रलाप
प्रेम से भरी उदासियों को
जब भी आवारा छोड़ा हमने
नदी उसे आत्मसात करती
हमें छूटने और डूबने से
बचाती रही
धीरे-धीरे
शहर बड़ा होता गया
बड़ा...बहुत बड़ा
तब सिकुड़ने लगी थी नदी
संकुचित ऐसी कि
टकराने लगीं थीं मछलियाँ
आपस में
अब नदी से गीत नहीं
मछलियों का कोहराम सुनाई देता
गोया नदी भूल चुकी हो गाना
नदी; अब नदी नही थी
पता चला लौटना चाहती थी
और
एक दिन नदी ने
स्वयं घोषणा की
अपने ख़ाली होने की
मानो
उसके नदी बने होने का अनुबंध
हो चुका था समाप्त
अब नदी, नदी नही रह गई थी
कोई लहर, कोई गीत नहीं,
हमारे लिए हादसा था यह
और
शहर के लिए
यह एक ख़तरनाक घटना थी
हम एक-दूसरे से कतरा कर
निकल चुके थे बहुत दूर
विन्यस्त प्रेम, पीड़ाएँ, शिकायतें, घृणा
सर्वस्व विसर्जित कर चुके थे हम
और हमसे बहुत दूर जा चुकी थी नदी
अब लोग
नदी नहीं
शहर के बारे में
मछलियों के बारे में
सोच रहे थे
shahr ke bichon beech
ek nadi bahti thi
mujhe yaad hai chhota sa shahr tha wo
aur bahut baDi thi nadi. . . vishal, gahri
hum nadi ke paas baithte chupchap
prem mein akanth Dube
nadi ki gili peeth par likhte
ek dusre ka naam
nadi hammen gati
aur hum
bhigte rahte the/
hum bhigte the uske akash,
hari pahaDiyon,peDon ke pratibimb vale
nile hare jal mein
atishay prem mein
iirshya kaundhti kabhi
kai baar hamare jhagDe hote
kai baar hum
ek dusre ko dhikkarte, koste
kai kai baar tutte hum
par
nadi thahri rahi thi bhitar
sunti rahi thi chupchap
hamare anargal pralap
prem se bhari udasiyon ko
jab bhi avara chhoDa hamne
nadi use atmasat karti
hamein chhutne aur Dubne se
bachati rahi
dhire dhire
shahr baDa hota gaya
baDa. . . bahut baDa
tab sikuDne lagi thi nadi
sankuchit aisi ki
takrane lagin theen machhliyan
aapas mein
ab nadi se geet nahin
machhaliyon ka kohram sunai deta
goya nadi bhool chuki ho gana
nadi; ab nadi nahi thi
pata chala lautna chahti thi
aur
ek din nadi ne
svayan ghoshna ki
apne khali hone ki
mano
uske nadi bane hone ka anubandh
ho chuka tha samapt
ab nadi, nadi nahi rah gai thi
koi lahr, koi geet nahin,
hamare liye hadasa tha ye
aur
shahr ke liye
ye ek khatarnak ghatna thi
hum ek dusre se katra kar
nikal chuke the bahut door
vinyast prem, piDayen, shikayten, ghrina
sarvasv visarjit kar chuke the hum
aur hamse bahut door ja chuki thi nadi
ab log
nadi nahin/
shahr ke bare men
machhaliyon ke bare men
soch rahe the
shahr ke bichon beech
ek nadi bahti thi
mujhe yaad hai chhota sa shahr tha wo
aur bahut baDi thi nadi. . . vishal, gahri
hum nadi ke paas baithte chupchap
prem mein akanth Dube
nadi ki gili peeth par likhte
ek dusre ka naam
nadi hammen gati
aur hum
bhigte rahte the/
hum bhigte the uske akash,
hari pahaDiyon,peDon ke pratibimb vale
nile hare jal mein
atishay prem mein
iirshya kaundhti kabhi
kai baar hamare jhagDe hote
kai baar hum
ek dusre ko dhikkarte, koste
kai kai baar tutte hum
par
nadi thahri rahi thi bhitar
sunti rahi thi chupchap
hamare anargal pralap
prem se bhari udasiyon ko
jab bhi avara chhoDa hamne
nadi use atmasat karti
hamein chhutne aur Dubne se
bachati rahi
dhire dhire
shahr baDa hota gaya
baDa. . . bahut baDa
tab sikuDne lagi thi nadi
sankuchit aisi ki
takrane lagin theen machhliyan
aapas mein
ab nadi se geet nahin
machhaliyon ka kohram sunai deta
goya nadi bhool chuki ho gana
nadi; ab nadi nahi thi
pata chala lautna chahti thi
aur
ek din nadi ne
svayan ghoshna ki
apne khali hone ki
mano
uske nadi bane hone ka anubandh
ho chuka tha samapt
ab nadi, nadi nahi rah gai thi
koi lahr, koi geet nahin,
hamare liye hadasa tha ye
aur
shahr ke liye
ye ek khatarnak ghatna thi
hum ek dusre se katra kar
nikal chuke the bahut door
vinyast prem, piDayen, shikayten, ghrina
sarvasv visarjit kar chuke the hum
aur hamse bahut door ja chuki thi nadi
ab log
nadi nahin/
shahr ke bare men
machhaliyon ke bare men
soch rahe the
स्रोत :
रचनाकार : सौम्या सुमन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.