दिन के ढलते फेफड़ों ने
उगल दिए हैं अपने सारे भेद।
सूरज समेट रहा है
किरणों की सुनहरी मछलियाँ।
और रात का मछुआरा
जाल लगाने की तैयारी में है।
उबासी लेते समय की
दूसरी पारी की
घंटी बज गई है।
अँधेरा गुप्त तहख़ानों की
चाभियाँ टटोल रहा है।
समंदर के अंदर की चुप्पी
जेलीफ़िश की चहलक़दमी से टूट रही है।
हरे शैवाल चाँदनी लपेटे पड़े हैं।
जाल में फँस जाने वाली मछलियाँ,
मृत्यु से ठीक पहले के सुनहरेपन में दमक रही हैं।
मछुआरा झींगुर, चाँद और कश्ती का क्रम बनाने की
असफल कोशिश कर रहा है।
और चाँद
समय के सारे रहस्य खारे नील में उड़ेल
सो रहा है।
उत्सुकताएँ हैं,
जो आँखें चमकाती हैं, बस!
बाक़ी रात और चाँद दोनों नींद में हैं।
din ke Dhalte phephDon ne
ugal diye hain apne sare bhed
suraj samet raha hai
kirnon ki sunahri machhliyan
aur raat ka machhuara
jal lagane ki taiyari mein hai
ubasi lete samay ki
dusri pari ki
ghanti baj gai hai
andhera gupt tahkhanon ki
chabhiyan tatol raha hai
samandar ke andar ki chuppi
jelifish ki chahalaqadmi se toot rahi hai
hare shaiwal chandni lapete paDe hain
jal mein phans jane wali machhliyan,
mirtyu se theek pahle ke sunahrepan mein damak rahi hain
machhuara jhingur, chand aur kashti ka kram banane ki
asaphal koshish kar raha hai
aur chand
samay ke sare rahasy khare neel mein uDel
so raha hai
utsuktayen hain,
jo ankhen chamkati hain, bus!
baqi raat aur chand donon neend mein hain
din ke Dhalte phephDon ne
ugal diye hain apne sare bhed
suraj samet raha hai
kirnon ki sunahri machhliyan
aur raat ka machhuara
jal lagane ki taiyari mein hai
ubasi lete samay ki
dusri pari ki
ghanti baj gai hai
andhera gupt tahkhanon ki
chabhiyan tatol raha hai
samandar ke andar ki chuppi
jelifish ki chahalaqadmi se toot rahi hai
hare shaiwal chandni lapete paDe hain
jal mein phans jane wali machhliyan,
mirtyu se theek pahle ke sunahrepan mein damak rahi hain
machhuara jhingur, chand aur kashti ka kram banane ki
asaphal koshish kar raha hai
aur chand
samay ke sare rahasy khare neel mein uDel
so raha hai
utsuktayen hain,
jo ankhen chamkati hain, bus!
baqi raat aur chand donon neend mein hain
स्रोत :
रचनाकार : ज्योति पांडेय
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.