और यह रहा उठान
देखो-देखो सोचते पहाड़ की-सी गंभीरता
अनार फूट रहे हैं उँगलियों से
नहीं-नहीं हिरनी की टेढ़ी-मेढ़ी चाल और उछाल है उसमें
और लो आकाश और पृथ्वी की छेड़छाड़ भी
दिखा दी हज़रत ने
अजीब सनकी आदमी है
पूरा प्रेक्षागृह तीन टुकड़ों में बाँट दिया
लेकिन भई मज़ा आ गया
अब तो आनंद ही दूसरा है
अँगूर के दाने की तरह झमझमाकर
बरस रहे पानी में नहाने का
और यह जो बिजली कड़की है
और लो आख़िर गिर ही गई
लेकिन कमाल है कुछ नष्ट नहीं हुआ
हमारे चेहरे थोड़ा ज़्यादा चमकदार हो गए हैं
मैंने ग़ौर किया हवा पालथी मारे बैठी है
मेरे बग़ल में
और झूम रही है
उसमें झूमता हुआ सूरज इतना पवित्र है जैसे
तबले पर थिरकती हुई उँगलियाँ
पूरब की दिशा हों
हवा में मेरी उँगलियाँ महक में डूब गईं
हवा में सूरज की महक तबले की ठनक जैसी लग रही है
और लो पानी का एक रेला
गुज़र गया ऊपर से मुस्कुराकर
कि एक घोड़ा पूरे क़ायदे से निकला
और सरपट भाग गया क्षितिज में
साँसों में घोड़े की टप-टप की आवाज़
एक लय में बज रही है
और सचमुच कहीं चमत्कार है तो यहीं है
मेरे अंदर बर्फ़ की तरह जमा हुआ पहाड़
पिघल रहा है
aur ye raha uthan
dekho dekho sochte pahaD ki si gambhirta
anar phoot rahe hain ungliyon se
nahin nahin hirni ki teDhi meDhi chaal aur uchhaal hai usmen
aur lo akash aur prithwi ki chheDchhaD bhi
dikha di hazrat ne
ajib sanki adami hai
pura prekshagrih teen tukDon mein bant diya
lekin bhai maza aa gaya
ab to anand hi dusra hai
angur ke dane ki tarah jhamajhmakar
baras rahe pani mein nahane ka
aur ye jo bijli kaDki hai
aur lo akhir gir hi gai
lekin kamal hai kuch nasht nahin hua
hamare chehre thoDa zyada chamakdar ho gaye hain
mainne ghaur kiya hawa palathi mare baithi hai
mere baghal mein
aur jhoom rahi hai
usmen jhumta hua suraj itna pawitra hai jaise
table par thirakti hui ungliyan
purab ki disha hon
hawa mein meri ungliyan mahak mein Doob gain
hawa mein suraj ki mahak table ki thanak jaisi lag rahi hai
aur lo pani ka ek rela
guzar gaya upar se muskurakar
ki ek ghoDa pure qayde se nikla
aur sarpat bhag gaya kshaitij mein
sanson mein ghoDe ki tap tap ki awaz
ek lai mein baj rahi hai
aur sachmuch kahin chamatkar hai to yahin hai
mere andar barf ki tarah jama hua pahaD
pighal raha hai
aur ye raha uthan
dekho dekho sochte pahaD ki si gambhirta
anar phoot rahe hain ungliyon se
nahin nahin hirni ki teDhi meDhi chaal aur uchhaal hai usmen
aur lo akash aur prithwi ki chheDchhaD bhi
dikha di hazrat ne
ajib sanki adami hai
pura prekshagrih teen tukDon mein bant diya
lekin bhai maza aa gaya
ab to anand hi dusra hai
angur ke dane ki tarah jhamajhmakar
baras rahe pani mein nahane ka
aur ye jo bijli kaDki hai
aur lo akhir gir hi gai
lekin kamal hai kuch nasht nahin hua
hamare chehre thoDa zyada chamakdar ho gaye hain
mainne ghaur kiya hawa palathi mare baithi hai
mere baghal mein
aur jhoom rahi hai
usmen jhumta hua suraj itna pawitra hai jaise
table par thirakti hui ungliyan
purab ki disha hon
hawa mein meri ungliyan mahak mein Doob gain
hawa mein suraj ki mahak table ki thanak jaisi lag rahi hai
aur lo pani ka ek rela
guzar gaya upar se muskurakar
ki ek ghoDa pure qayde se nikla
aur sarpat bhag gaya kshaitij mein
sanson mein ghoDe ki tap tap ki awaz
ek lai mein baj rahi hai
aur sachmuch kahin chamatkar hai to yahin hai
mere andar barf ki tarah jama hua pahaD
pighal raha hai
स्रोत :
रचनाकार : महेश आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.