उनकी कविताएँ लिखी गईं
ख़ूबसूरत पन्नों वाली
क़ीमती डायरियों पर
छपीं महँगे काग़ज़ वाली पत्रिकाओं में
पढ़ी गईं
अति भव्य वातानुकूलित कमरों में
अति विशिष्ट बौद्धिक श्रोताओं के सामने
उनकी कविताएँ लिखी गईं
सूक्ष्म से सूक्ष्म संवेदनाओं पर
उन पर किसी तरह के दाग़ नहीं थे
वे मैली-कुचैली नहीं थीं
जबकि उनके जीवन की चादर पर थे
अनगिनत दाग़
उनकी कविताएँ करती थीं बखान
जीवन के शाश्वत मूल्यों का
उनमें भूख से ऐंठी अँतड़ियों के निशान नहीं थे
वे दूर थीं एक एक निरीह औरत की
चीख़-पुकार से
भूकंप बाढ़ सुनामी में विस्थापित लोगों की पीड़ा से
आत्महत्या करने पर विवश किसानों के ग़मग़ीन चेहरों से
उनमें युद्ध से घायल हुए सैनिकों के घाव से रिसते
ख़ून के धब्बों के निशान नहीं थे
उनके कविता संकलनों की
थोक ख़रीद होती रही
सरकारी संस्थानों में
हालाँकि उनके काव्य संकलनों के पन्नों पर
पाठकों की उँगलियों के निशान नहीं थे
unki kavitayen likhi gain
khubsurat pannon vali
qimti Dayariyon par
chhapin mahnge kaghaz vali patrikaon men
paDhi gain
ati bhavya vatanukulit kamron men
ati vishisht bauddhik shrotaon ke samne
unki kavitayen likhi gain
sookshm se sookshm sanvednaon par
unpar kisi tarah ke daagh nahin the
ve maili kuchaili nahin theen
jabki unke jivan ki chadar par the
anaginat daagh
unki kavitayen karti theen bakhan
jivan ke shashvat mulyon ka
unmen bhookh se ainthi antDiyon ke nishan nahin the
ve door theen ek ek nirih aurat ki
cheekh pukar se
bhukamp baaDh sunami mein visthapit logon ki piDa se
atmahatya karne par vivash kisanon ke ghamghin chehron se
unmen yuddh se ghayal hue sainikon ke ghaav se riste
khoon ke dhabbon ke nishan nahin the
unke kavita sankalnon ki
thok kharid hoti rahi
sarkari sansthanon men
halanki unke kavya sankalnon ke pannon par
pathkon ki ungliyon ke nishan nahin the
unki kavitayen likhi gain
khubsurat pannon vali
qimti Dayariyon par
chhapin mahnge kaghaz vali patrikaon men
paDhi gain
ati bhavya vatanukulit kamron men
ati vishisht bauddhik shrotaon ke samne
unki kavitayen likhi gain
sookshm se sookshm sanvednaon par
unpar kisi tarah ke daagh nahin the
ve maili kuchaili nahin theen
jabki unke jivan ki chadar par the
anaginat daagh
unki kavitayen karti theen bakhan
jivan ke shashvat mulyon ka
unmen bhookh se ainthi antDiyon ke nishan nahin the
ve door theen ek ek nirih aurat ki
cheekh pukar se
bhukamp baaDh sunami mein visthapit logon ki piDa se
atmahatya karne par vivash kisanon ke ghamghin chehron se
unmen yuddh se ghayal hue sainikon ke ghaav se riste
khoon ke dhabbon ke nishan nahin the
unke kavita sankalnon ki
thok kharid hoti rahi
sarkari sansthanon men
halanki unke kavya sankalnon ke pannon par
pathkon ki ungliyon ke nishan nahin the
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.