मैं बरसों से
किसी अच्छी ख़बर की उम्मीद में हूँ
अच्छी ख़बर कुछ भी हो सकती है
किसी रोज़ बीमार माँ को मयस्सर हो
नींद की एक पूरी रात
किसी रोज़ दुनिया के
तमाम बच्चों को हो जाए तसल्ली
कि जिससे माएँ डराती थीं उनको
हक़ीक़त में वह शैतान कहीं है ही नहीं
किसी रोज़ उड़ती सी ख़बर कानों तक आए
कि दोस्तों को भी अब यक़ीन होने लगा है
बदलेगी एक रोज़ यह दुनिया
अच्छी ख़बर कुछ भी हो सकती है...
कभी सोचा है आपने
कि छद्म क्रांतिकारियों से मुक्त हो कर
कैसी दिखेगी यह धरती!
जब बंदूक़ें देखने के लिए
आपको जाना होगा अजायबघरों में
और इतिहास को नए अंदाज़ में
लिखने की ज़िद करने वाले लोग
एक रोज़ अचानक खो बैठेंगे अपनी याददाश्त!
कितनी हैरतंगेज़ बात है
कि इतनी बड़ी दुनिया में
एक अदद अच्छी ख़बर की क़िल्लत पड़ जाए
और नहीं कुछ तो एक गुमनाम ख़त ही आ जाता
मैं मान लेता उसी ने भेजे होंगे
जिस लड़की को लिखा था मैंने
एक अनुत्तरित पत्र बीसियों साल पहले
‘कामसूत्र’ को छोड़ कर
उपयोग में न आने वाली दुनिया की तमाम किताबें
नष्ट कर दी जातीं एक रोज़
एक रोज़ जनपद के सबसे बड़े कवि
मिलने पर पूछते आमफ़हम ज़ुबान में मेरी ख़ैरियत
एक अच्छी ख़बर होती यह
कोई अचरज की बात नहीं
कि अच्छी ख़बरों का यह संकट
आने वाले दिनों में और गहरा जाए
आने वाले दिनों में लेकिन
अच्छी ख़बरों की उम्मीद हम नहीं छोड़ेंगे
main barson se
kisi achchhi khabar ki ummid mein hoon
achchhi khabar kuch bhi ho sakti hai
kisi roz bimar man ko mayassar ho
neend ki ek puri raat
kisi roz duniya ke
tamam bachchon ko ho jaye tasalli
ki jisse mayen Darati theen unko
haqiqat mein wo shaitan kahin hai hi nahin
kisi roz uDti si khabar kanon tak aaye
ki doston ko bhi ab yaqin hone laga hai
badlegi ek roz ye duniya
achchhi khabar kuch bhi ho sakti hai
kabhi socha hai aapne
ki chhadm krantikariyon se mukt ho kar
kaisi dikhegi ye dharti!
jab banduqen dekhne ke liye
apko jana hoga ajayabaghron mein
aur itihas ko nae andaz mein
likhne ki zid karne wale log
ek roz achanak kho baithenge apni yadadasht!
kitni hairtangez baat hai
ki itni baDi duniya mein
ek adad achchhi khabar ki qillat paD jaye
aur nahin kuch to ek gumnam khat hi aa jata
main man leta usi ne bheje honge
jis laDki ko likha tha mainne
ek anuttarit patr bisiyon sal pahle
‘kamsutr’ ko chhoD kar
upyog mein na aane wali duniya ki tamam kitaben
nasht kar di jatin ek roz
ek roz janpad ke sabse baDe kawi
milne par puchhte amafah zuban mein meri khairiyat
ek achchhi khabar hoti ye
koi achraj ki baat nahin
ki achchhi khabron ka ye sankat
ane wale dinon mein aur gahra jaye
ane wale dinon mein lekin
achchhi khabron ki ummid hum nahin chhoDenge
main barson se
kisi achchhi khabar ki ummid mein hoon
achchhi khabar kuch bhi ho sakti hai
kisi roz bimar man ko mayassar ho
neend ki ek puri raat
kisi roz duniya ke
tamam bachchon ko ho jaye tasalli
ki jisse mayen Darati theen unko
haqiqat mein wo shaitan kahin hai hi nahin
kisi roz uDti si khabar kanon tak aaye
ki doston ko bhi ab yaqin hone laga hai
badlegi ek roz ye duniya
achchhi khabar kuch bhi ho sakti hai
kabhi socha hai aapne
ki chhadm krantikariyon se mukt ho kar
kaisi dikhegi ye dharti!
jab banduqen dekhne ke liye
apko jana hoga ajayabaghron mein
aur itihas ko nae andaz mein
likhne ki zid karne wale log
ek roz achanak kho baithenge apni yadadasht!
kitni hairtangez baat hai
ki itni baDi duniya mein
ek adad achchhi khabar ki qillat paD jaye
aur nahin kuch to ek gumnam khat hi aa jata
main man leta usi ne bheje honge
jis laDki ko likha tha mainne
ek anuttarit patr bisiyon sal pahle
‘kamsutr’ ko chhoD kar
upyog mein na aane wali duniya ki tamam kitaben
nasht kar di jatin ek roz
ek roz janpad ke sabse baDe kawi
milne par puchhte amafah zuban mein meri khairiyat
ek achchhi khabar hoti ye
koi achraj ki baat nahin
ki achchhi khabron ka ye sankat
ane wale dinon mein aur gahra jaye
ane wale dinon mein lekin
achchhi khabron ki ummid hum nahin chhoDenge
स्रोत :
रचनाकार : प्रभात मिलिंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.