उम्मीद एक ऐसा शब्द है
जो बार-बार आता है
कवियों की कविताओं में
मैं बचना चाहता हूँ ऐसे किसी कोरे शब्द से
मैं बचना चाहता हूँ दुहराव-तिहराव से
फिर भी यह शब्द आता है
मेरी कविता में
सचमुच उम्मीद की तरह
अब भला देखिए तो सही
इस कविता के शुरू में ही
दो बार आ गया 'उम्मीद'
जो भी हो आदमी की गुज़र जाती है
ज़िंदगी
आदमी की ज़िंदगी ही क्या
गुज़र गई पूरी पिछली सदी ही
उम्मीद के सहारे
मानव सभ्यता के उत्थान-पतन की
रोमांचक गाथाओं में
दिखते हैं
कई-कई मोड़
हर मोड़ पर मिलता है यही एक शब्द
'उम्मीद'
निर्माण के पहले
ध्वंस के बाद भी!
ummid ek aisa shabd hai
jo baar baar aata hai
kaviyon ki kavitaon men
main bachna chahta hoon aise kisi kore shabd se
main bachna chahta hoon duhrav tihrav se
phir bhi ye shabd aata hai
meri kavita men
sachmuch ummid ki tarah
ab bhala dekhiye to sahi
is kavita ke shuru mein hi
do baar aa gaya ummid
jo bhi ho adami ki guzar jati hai
zindagi
adami ki zindagi hi kya
guzar gai puri pichhli sadi hi
ummid ke sahare
manav sabhyata ke utthaan patan ki
romanchak gathaon men
dikhte hain
kai kai moD
har moD par milta hai yahi ek shabd
ummid
nirman ke pahle
dhvans ke baad bhee!
ummid ek aisa shabd hai
jo baar baar aata hai
kaviyon ki kavitaon men
main bachna chahta hoon aise kisi kore shabd se
main bachna chahta hoon duhrav tihrav se
phir bhi ye shabd aata hai
meri kavita men
sachmuch ummid ki tarah
ab bhala dekhiye to sahi
is kavita ke shuru mein hi
do baar aa gaya ummid
jo bhi ho adami ki guzar jati hai
zindagi
adami ki zindagi hi kya
guzar gai puri pichhli sadi hi
ummid ke sahare
manav sabhyata ke utthaan patan ki
romanchak gathaon men
dikhte hain
kai kai moD
har moD par milta hai yahi ek shabd
ummid
nirman ke pahle
dhvans ke baad bhee!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.