किसी सड़क पर कोई कविता उगी हो सकती है
यह सरल वाक्य में एक कल्पना है
और आशावादी वक्तव्य भी
लेकिन...
ना उम्मीदी के बावजूद मैं फिर से
ये वाक्य दोहराता हूँ
उग तो सकती है कहीं भी
यह उर्वरता का सिद्धाँत कहता है
कि ज़मीन पर न सही तो पत्थरों के बीच में
किसी भी दरार में
यहाँ तक कि जंग लगे तालों के छेद में
जहाँ चाबी लगती है
कोई अगर जगह न बचे तो मन के अँधेरे कोने में भी
एक उजाले की आहट की तरह...
लेकिन नहीं
नहीं उगेगी वह इस बार
मैं इंतज़ार करता रहूँगा
किताबों की इतनी बड़ी दुनिया में
इंतज़ार बहुत छोटा शब्द है
यह जानते हुए भी मैं इंतज़ार करता रहूँगा कि वो उगे
कहीं भी
सड़क पर ही सही
लेकिन यह भय है कि
रफ़्तार से यह दुनिया जब इतनी छोटी हो गई है
कि कोई भी वाकया कहीं भी हो सकता है
तब यह भी हो सकता है
कि बीच सड़क पर
कोई उसे पागल समझ पीट-पीटकर मार डाले
किसी लक्जरी कार को छूने के अपराध में
गाड़ी वाला अपनी पिस्टल से
उसे निशाना बनाकर निकल जाए
कोई भी उस शोर से पागल हो सकता है
वह भी कहीं पागल होकर
सड़क किनारे काले कंबल में एक लाश की तरह
पड़ी हो सकती है
मेरे इंतज़ार से गा़फ़िल
kisi saDak par koi kavita ugi ho sakti hai
ye saral vakya mein ek kalpana hai
aur ashavadi vaktavya bhi
lekin. . .
na ummidi ke bavjud main phir se
ye vakya dohrata hoon
ug to sakti hai kahin bhi
ye urvarta ka siddhant kahta hai
ki zamin par na sahi to patthron ke beech mein
kisi bhi darar mein
yahan tak ki jang lage talon ke chhed mein
jahan chabi lagti hai
koi agar jagah na bache to man ke andhere kone mein bhi
ek ujale ki aahat ki tarah. . .
lekin nahin
nahin ugegi wo is baar
main intzaar karta rahunga
kitabon ki itni baDi duniya mein
intzaar bahut chhota shabd hai
ye jante hue bhi main intzaar karta rahunga ki wo uge
kahin bhi
saDak par hi sahi
lekin ye bhay hai ki
raftar se ye duniya jab itni chhoti ho gai hai
ki koi bhi vakya kahin bhi ho sakta hai
tab ye bhi ho sakta hai
ki beech saDak par
koi use pagal samajh peet pitkar maar Dale
kisi lakjri kaar ko chhune ke apradh mein
gaDi vala apni pistal se
use nishana banakar nikal jaye
koi bhi us shor se pagal ho sakta hai
wo bhi kahin pagal hokar
saDak kinare kale kambal mein ek laash ki tarah
paDi ho sakti hai
mere intzaar se gafil
kisi saDak par koi kavita ugi ho sakti hai
ye saral vakya mein ek kalpana hai
aur ashavadi vaktavya bhi
lekin. . .
na ummidi ke bavjud main phir se
ye vakya dohrata hoon
ug to sakti hai kahin bhi
ye urvarta ka siddhant kahta hai
ki zamin par na sahi to patthron ke beech mein
kisi bhi darar mein
yahan tak ki jang lage talon ke chhed mein
jahan chabi lagti hai
koi agar jagah na bache to man ke andhere kone mein bhi
ek ujale ki aahat ki tarah. . .
lekin nahin
nahin ugegi wo is baar
main intzaar karta rahunga
kitabon ki itni baDi duniya mein
intzaar bahut chhota shabd hai
ye jante hue bhi main intzaar karta rahunga ki wo uge
kahin bhi
saDak par hi sahi
lekin ye bhay hai ki
raftar se ye duniya jab itni chhoti ho gai hai
ki koi bhi vakya kahin bhi ho sakta hai
tab ye bhi ho sakta hai
ki beech saDak par
koi use pagal samajh peet pitkar maar Dale
kisi lakjri kaar ko chhune ke apradh mein
gaDi vala apni pistal se
use nishana banakar nikal jaye
koi bhi us shor se pagal ho sakta hai
wo bhi kahin pagal hokar
saDak kinare kale kambal mein ek laash ki tarah
paDi ho sakti hai
mere intzaar se gafil
स्रोत :
रचनाकार : श्रीधर करुणानिधि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.