मेरे उच्चारण में
अशुद्धियाँ ही अशुद्धियाँ हैं।
प्रेम का व्याकरण तो सधा ही नहीं मुझसे
चुंबन का उच्चारण इतना अशुद्ध किया कि
तुम्हारे गाल पर होंठ के साथ लगा दिया
लार भी। तुम्हारे बालों को सहलाते
उलझा लिया उँगलियाँ और यह तो हद ही हुई
कि निगाह में भर ही रहा था तुम्हारी हँसी
कि छलका दिया सहेजने से अधिक।
हथेलियों के स्पर्श में भी
मुझे रह गया स्पर्श अधिक लगता रहा। मेरी साँसों ने
हमारे प्रेम का जो संगीत रचा
उसमें आलाप का आकाश फैलना था और
लेकिन हर बार साँसों का उच्चारण द्रुत हो गया
जिसकी वजह से ही पीठ की पृथ्वी पर
उँगलियों की छाप बाँचने के लिए
हथेलियों को दौड़ाना पड़ता है बार-बार
मुझसे नहीं सधा प्रेम का व्याकरण
प्यार के उच्चारण में थरथराहट ने
सारा सुख दिगंबर कर दिया है
mere uchcharan mein
ashuddhiyan hi ashuddhiyan hain
prem ka wyakaran to sadha hi nahin mujhse
chumban ka uchcharan itna ashuddh kiya ki
tumhare gal par honth ke sath laga diya
lar bhi tumhare balon ko sahlate
uljha liya ungliyan aur ye to had hi hui
ki nigah mein bhar hi raha tha tumhari hansi
ki chhalka diya sahejne se adhik
hatheliyon ke sparsh mein bhi
mujhe rah gaya sparsh adhik lagta raha meri sanson ne
hamare prem ka jo sangit racha
usmen alap ka akash phailna tha aur
lekin har bar sanson ka uchcharan drut ho gaya
jiski wajah se hi peeth ki prithwi par
ungliyon ki chhap banchane ke liye
hatheliyon ko dauDana paDta hai bar bar
mujhse nahin sadha prem ka wyakaran
pyar ke uchcharan mein thartharahat ne
sara sukh digambar kar diya hai
mere uchcharan mein
ashuddhiyan hi ashuddhiyan hain
prem ka wyakaran to sadha hi nahin mujhse
chumban ka uchcharan itna ashuddh kiya ki
tumhare gal par honth ke sath laga diya
lar bhi tumhare balon ko sahlate
uljha liya ungliyan aur ye to had hi hui
ki nigah mein bhar hi raha tha tumhari hansi
ki chhalka diya sahejne se adhik
hatheliyon ke sparsh mein bhi
mujhe rah gaya sparsh adhik lagta raha meri sanson ne
hamare prem ka jo sangit racha
usmen alap ka akash phailna tha aur
lekin har bar sanson ka uchcharan drut ho gaya
jiski wajah se hi peeth ki prithwi par
ungliyon ki chhap banchane ke liye
hatheliyon ko dauDana paDta hai bar bar
mujhse nahin sadha prem ka wyakaran
pyar ke uchcharan mein thartharahat ne
sara sukh digambar kar diya hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रेमशंकर शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.