तुमसे अलग होकर लगता है
अचानक मेरे पंख छोटे हो गए हैं,
और मैं नीचे एक सीमाहीन सागर में
गिरता जा रहा हूँ।
अब कहीं कोई यात्रा नहीं है,
न अर्थमय, न अर्थहीन;
गिरने और उठने के बीच कोई अंतर नहीं।
तुमसे अलग होकर
हर चीज़ में कुछ खोजने का बोध
हर चीज़ में कुछ पाने की
अभिलाषा जाती रही
सारा अस्तित्व रेल की पटरी-सा बिछा है
हर क्षण धड़धड़ाता हुआ निकल जाता है।
तुमसे अलग होकर
घास की पत्तियाँ तक इतनी बड़ी लगती हैं
कि मेरा सिर उनकी जड़ों से
टकरा जाता है,
नदियाँ सूत की डोरियाँ हैं
पैर उलझ जाते हैं,
आकाश उलट गया है
चाँद-तारे नहीं दिखाई देते,
मैं धरती पर नहीं, कहीं उसके भीतर
उसका सारा बोझ सिर पर लिए रेंगता हूँ।
तुमसे अलग होकर लगता है
सिवा आकारों के कहीं कुछ नहीं है,
हर चीज़ टकराती है
और बिना चोट किए चली जाती है।
तुमसे अलग होकर लगता है
मैं इतनी तेज़ी से घूम रहा हूँ
कि हर चीज़ का आकार
और रंग खो गया है,
हर चीज़ के लिए
मैं भी अपना आकार और रंग खो चुका हूँ,
धब्बों के एक दायरे में
एक धब्बे-सा हूँ,
निरंतर हूँ
और रहूँगा
प्रतीक्षा के लिए
मृत्यु भी नहीं है।
tumse alag hokar lagta hai
achanak mere pankh chhote ho gaye hain,
aur main niche ek simahin sagar mein
girta ja raha hoon
ab kahin koi yatra nahin hai,
na arthmay, na arthahin;
girne aur uthne ke beech koi antar nahin
tumse alag hokar
har cheez mein kuch khojne ka bodh
har cheez mein kuch pane ki
abhilasha jati rahi
sara astitw rail ki patri sa bichha hai
har kshan dhaDadhData hua nikal jata hai
tumse alag hokar
ghas ki pattiyan tak itni baDi lagti hain
ki mera sir unki jaDon se
takra jata hai,
nadiyan soot ki Doriyan hain
pair ulajh jate hain,
akash ulat gaya hai
chand tare nahin dikhai dete,
main dharti par nahin, kahin uske bhitar
uska sara bojh sir par liye rengta hoon
tumse alag hokar lagta hai
siwa akaron ke kahin kuch nahin hai,
har cheez takrati hai
aur bina chot kiye chali jati hai
tumse alag hokar lagta hai
main itni tezi se ghoom raha hoon
ki har cheez ka akar
aur rang kho gaya hai,
har cheez ke liye
main bhi apna akar aur rang kho chuka hoon,
dhabbon ke ek dayre mein
ek dhabbe sa hoon,
nirantar hoon
aur rahunga
pratiksha ke liye
mirtyu bhi nahin hai
tumse alag hokar lagta hai
achanak mere pankh chhote ho gaye hain,
aur main niche ek simahin sagar mein
girta ja raha hoon
ab kahin koi yatra nahin hai,
na arthmay, na arthahin;
girne aur uthne ke beech koi antar nahin
tumse alag hokar
har cheez mein kuch khojne ka bodh
har cheez mein kuch pane ki
abhilasha jati rahi
sara astitw rail ki patri sa bichha hai
har kshan dhaDadhData hua nikal jata hai
tumse alag hokar
ghas ki pattiyan tak itni baDi lagti hain
ki mera sir unki jaDon se
takra jata hai,
nadiyan soot ki Doriyan hain
pair ulajh jate hain,
akash ulat gaya hai
chand tare nahin dikhai dete,
main dharti par nahin, kahin uske bhitar
uska sara bojh sir par liye rengta hoon
tumse alag hokar lagta hai
siwa akaron ke kahin kuch nahin hai,
har cheez takrati hai
aur bina chot kiye chali jati hai
tumse alag hokar lagta hai
main itni tezi se ghoom raha hoon
ki har cheez ka akar
aur rang kho gaya hai,
har cheez ke liye
main bhi apna akar aur rang kho chuka hoon,
dhabbon ke ek dayre mein
ek dhabbe sa hoon,
nirantar hoon
aur rahunga
pratiksha ke liye
mirtyu bhi nahin hai
स्रोत :
पुस्तक : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना ग्रंथावली-1 (पृष्ठ 240)
संपादक : वीरेंद्र जैन
रचनाकार : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.