तुमको छूने पर
स्नायु शिराधमनियों में
दौड़ जाती है कहीं सुदूर से एक
अनजान नाम गाँव के अंतिम छोर के किसी मंदिर की
आरती की घट-ध्वनियाँ
सुनाई देती है ‘रात हो गई, रात हो गई’ कहते
घोसलों में लौटते पक्षियों के शुभ्र संचरण में
तुमको छूने पर
मेरा बचपन फिर एक बार
आषाढ़ की पहली बारिश में भीग जाता है
भीगी मिट्टी की सौंधी गंध से
खिलखिलाने लगती है संतापित मेरे धूल में मेघ की फसल
कड़कड़ाने लगती है बिजली मेरे चित्त आकाश में
तुमको छूने पर
तुलसी चौरा मूल में शाम के समय
याद आती है तुरंत बुझे दीए की बत्ती की महक
पता नहीं, कहाँ खो जाते हैं
सुवासित अँधेरे में चंद्र-तारे और निहारिकाएँ।
tumko chhune par
snayu shiradhamaniyon mein
dauD jati hai kahin sudur se ek
anjan nam ganw ke antim chhor ke kisi mandir ki
arti ki ghat dhwaniyan
sunai deti hai ‘raat ho gai, raat ho gai’ kahte
ghoslon mein lautte pakshiyon ke shubhr sanchran mein
tumko chhune par
mera bachpan phir ek bar
ashaDh ki pahli barish mein bheeg jata hai
bhigi mitti ki saundhi gandh se
khilkhilane lagti hai santapit mere dhool mein megh ki phasal
kaDkaDane lagti hai bijli mere chitt akash mein
tumko chhune par
tulsi chaura mool mein sham ke samay
yaad aati hai turant bujhe diye ki batti ki mahak
pata nahin, kahan kho jate hain
suwasit andhere mein chandr tare aur niharikayen

स्रोत :
पुस्तक : ओडिया भाषा की प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 148)
रचनाकार : सीताकांत महापात्र
प्रकाशन : यश पब्लिकेशंस
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.