प्रेम में
कई बार धोखा खाई एक लड़की
हॉस्टल की बालकनी से झाँकते हुए
रोज़ हमारी अक्खड़ उपस्थिति को निहारती थी
व्यवस्था की
विसंगतियों से युद्धरत एक लड़का
तुमको मेरे कमज़ोर कंधों पर लदकर
आधी रात में सड़कों पर खेलते देखता था
भूख से
रोज़ जंग लड़ती एक गिलहरी
ढाबे पर हम दोनों के साथ-साथ
कॉफ़ी और पराठे का इंतज़ार करती थी
जीवन का
एक बहुत बड़ा हिस्सा
एक-दूसरे के साथ गुज़ार चुका एक वृद्ध युगल
हमें साथ देख मुस्कुराते हुए अपने अतीत में लौटा था
अब जब तुम यहाँ नहीं हो
मैं हर जगह अकेले जाता हूँ
और मुझे इनकी सवाल पूछती आँखें चुभती हैं
मैंने हरेक को तुम्हारे आने का आश्वासन दे दिया है
यक़ीन मानो
अब बहुत देर हो रही है
इंतज़ार करती आँखें तक़ाज़ा करने लगी हैं
मैं और अधिक दिनों तक इनको टाल नहीं सकता
इस दुनिया में
बची हर सुंदरता का उधार है हम पर
और हर उम्मीद के प्रति हमारी जवाबदेही
चिड़ियों की आँख में आँसू अच्छे नहीं होते
मैंने सबसे मशवरा किया है
एक बूढ़ी चट्टान ने कहा है
और मेरा भी यही मानना है :
तुमको लौट आना चाहिए…
prem mein
kai baar dhokha khai ek laDki
hostel ki balakni se jhankte hue
roz hamari akkhaD upasthiti ko niharti thi
vyavastha ki
visangatiyon se yuddharat ek laDka
tumko mere kamzor kandhon par ladkar
aadhi raat mein saDkon par khelte dekhta tha
bhookh se
roz jang laDti ek gilahri
Dhabe par hum donon ke saath saath
coffe aur parathe ka intzaar karti thi
jivan ka
ek bahut baDa hissa
ek dusre ke saath guzar chuka ek vriddh yugal
hamein saath dekh muskurate hue apne atit mein lauta tha
ab jab tum yahan nahin ho
main har jagah akele jata hoon
aur mujhe inki saval puchhti ankhen chubhti hain
mainne harek ko tumhare aane ka ashvasan de diya hai
yakin mano
ab bahut der ho rahi hai
intzaar karti ankhen taqaza karne lagi hain
main aur adhik dinon tak inko taal nahin sakta
is duniya men
bachi har sundarta ka udhaar hai hum par
aur har ummid ke prati hamari javabadehi
chiDiyon ki ankh mein ansu achchhe nahin hote
mainne sabse mashvara kiya hai
ek buDhi chattan ne kaha hai
aur mera bhi yahi manna hai
tumko laut aana chahiye…

स्रोत :
रचनाकार : गौरव सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.