तुम्हें जेठ-वैशाख की तपती
दुपहरी में आना था प्रियंक!
लय हो जाता विरह का उत्ताप
तपते निदाघ के आलाप में
मिलन की सघन भैरवी
काल की प्रतिबद्धता तज
दीर्घ आलाप में विराजती हमारे मध्य
कोमलतम उतरता गँधार अपनी पूरी धज में
धैवत की गंभीरता
कितनी चपलता से उतरती विरह-वीणा पर!
तुम जेठ वैशाख की तपती दुपहरी में आते प्रियंक!
जब आकुल-व्याकुल मैं
लोटती थी तपती रेत पर
कि कुछ तो सवाई हो इस विरह के उत्ताप से!
राग दीपक ऐसे ही किसी विरही-कंठ का
उच्चारण रहा होगा
तरल अग्नि बन बहा होगा किसी हृदयनद से
रोमकूपों से प्राणपर्यंत जलते रहे
सहस्रों दीप मुझमें
आँखों ने टाँक दिए वे सहस्रों दीप
क्षितिज के ओर से छोर तक
तुम भाद्रपद के मध्याह्न में जब
लाँघ रहे थे मेरे घर की ड्योढी—
टूट रही थी जैसे द्वार की योगसमाधि
दमक रही थी विरह की आभा पूरे परिसर में
इसकी उज्ज्वलता में
समिधा बन झर रहा था 'चौरासी'
इसके परिपाक की महक को
लोढ़ रही थी मातृकाएँ
उठ रही थी भाप
बन रहे थे बादल
बदल रहे थे नक्षत्र अपना मार्ग
मरुभूमि की तपश्चर्या से ज्यूँ
सरस है पूर्वांचली
तरल हैं नदी-नद
गाभों में ठहर रहा अन्नाद
अग्नि के शैत्य से ही
बरसता है धारासार यह मेघ
सहस्रजिह्व इस अग्नि के आलोक से
सु-ऊष्म है यह सृष्टि
परंतु
अग्नि का स्पर्श प्रतिबंधित है प्रियंक!
tumhein jeth vaishakh ki tapti
dupahri mein aana tha priyank!
lay ho jata virah ka uttaap
tapte nidagh ke alap men
milan ki saghan bhairavi
kaal ki pratibaddhata taj
deergh alap mein virajti hamare madhya
komaltam utarta gandhar apni puri dhaj men
dhaivat ki gambhirta
kitni chapalta se utarti virah vina par!
tum jeth vaishakh ki tapti dupahri mein aate priyank!
jab aakul vyakul main
lotti thi tapti ret par
ki kuch to savai ho is virah ke uttaap se!
raag dipak aise hi kisi virhi kanth ka
uchcharan raha hoga
taral agni ban baha hoga kisi hridaynad se
romkupon se pranparyant jalte rahe
sahasron deep mujhmen
ankhon ne taank diye ve sahasron deep
kshitij ke or se chhor tak
tum bhadrapad ke madhyahn mein jab
laangh rahe the mere ghar ki DyoDhi—
toot rahi thi jaise dvaar ki yogasmadhi
damak rahi thi virah ki aabha pure parisar men
iski ujjvalta mein
samidha ban jhar raha tha chaurasi
iske paripak ki mahak ko
loDh rahi thi matrikayen
uth rahi thi bhaap
ban rahe the badal
badal rahe the nakshatr apna maarg
marubhumi ki tapashcharya se jyoon
saras hai purvanchli
taral hain nadi nad
gabhon mein thahar raha annad
agni ke shaitya se hi
barasta hai dharasar ye megh
sahasrjihv is agni ke aalok se
su uushm hai ye srishti
parantu
agni ka sparsh pratibandhit hai priyank!
tumhein jeth vaishakh ki tapti
dupahri mein aana tha priyank!
lay ho jata virah ka uttaap
tapte nidagh ke alap men
milan ki saghan bhairavi
kaal ki pratibaddhata taj
deergh alap mein virajti hamare madhya
komaltam utarta gandhar apni puri dhaj men
dhaivat ki gambhirta
kitni chapalta se utarti virah vina par!
tum jeth vaishakh ki tapti dupahri mein aate priyank!
jab aakul vyakul main
lotti thi tapti ret par
ki kuch to savai ho is virah ke uttaap se!
raag dipak aise hi kisi virhi kanth ka
uchcharan raha hoga
taral agni ban baha hoga kisi hridaynad se
romkupon se pranparyant jalte rahe
sahasron deep mujhmen
ankhon ne taank diye ve sahasron deep
kshitij ke or se chhor tak
tum bhadrapad ke madhyahn mein jab
laangh rahe the mere ghar ki DyoDhi—
toot rahi thi jaise dvaar ki yogasmadhi
damak rahi thi virah ki aabha pure parisar men
iski ujjvalta mein
samidha ban jhar raha tha chaurasi
iske paripak ki mahak ko
loDh rahi thi matrikayen
uth rahi thi bhaap
ban rahe the badal
badal rahe the nakshatr apna maarg
marubhumi ki tapashcharya se jyoon
saras hai purvanchli
taral hain nadi nad
gabhon mein thahar raha annad
agni ke shaitya se hi
barasta hai dharasar ye megh
sahasrjihv is agni ke aalok se
su uushm hai ye srishti
parantu
agni ka sparsh pratibandhit hai priyank!
स्रोत :
रचनाकार : चंचला पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.