तुम मुझे पुकारो
कि अनायास ही
मेरे भीतर
बजने लगे
सदियों पुरानी बंसी की एक धुन।
तुम मुझे पुकारो
कि अनायास ही
मेरे भीतर
नाचने लगें
कई मौसम एक साथ
और झरने लगें
ढेर सारे मौलसिरी के फूल।
तुम मुझे पुकारो
कि अनायास ही
मेरे भीतर
फूट पड़े
कुएँ का एक अजस्त्र स्रोत
और निकल पड़े
एक बावली नदी
इठलाती हुई
अपने अनंत गंतव्य की ओर।
तुम मुझे पुकारो
कि अनायास ही
मेरे भीतर
दौड़ने लगें उनचासों पवन
और गूँज उठे
पवित्र आरती की एक मधुर झंकार।
तुम मुझे पुकारो
कि अनायास ही
मेरे भीतर
खिल उठें
बादलों के रंग-बिरंगे फूल
और पकने लगे कुछ
जाड़े की धूप में
पक रही फ़सलों की तरह।
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
bajne lage
sadiyon purani bansi ki ek dhun
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
nachne lagen
kai mausam ek sath
aur jharne lagen
Dher sare maulsiri ke phool
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
phoot paDe
kuen ka ek ajastr srot
aur nikal paDe
ek bawli nadi
ithlati hui
apne anant gantawya ki or
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
dauDne lagen unchason pawan
aur goonj uthe
pawitra aarti ki ek madhur jhankar
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
khil uthen
badlon ke rang birange phool
aur pakne lage kuch
jaDe ki dhoop mein
pak rahi faslon ki tarah
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
bajne lage
sadiyon purani bansi ki ek dhun
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
nachne lagen
kai mausam ek sath
aur jharne lagen
Dher sare maulsiri ke phool
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
phoot paDe
kuen ka ek ajastr srot
aur nikal paDe
ek bawli nadi
ithlati hui
apne anant gantawya ki or
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
dauDne lagen unchason pawan
aur goonj uthe
pawitra aarti ki ek madhur jhankar
tum mujhe pukaro
ki anayas hi
mere bhitar
khil uthen
badlon ke rang birange phool
aur pakne lage kuch
jaDe ki dhoop mein
pak rahi faslon ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रबिंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.