कि तुम जो नहीं होती तो, फिर...
भोर निखरती ऐसे ही क्या
थामे किरणों की घूँघट?
तब भी उठती क्या ऐसे ही
साँझ ढ़ले की अकुलाहट?
रातें होतीं रातों जैसी
या दिन फिर दिन ही होता?
यूँ ही भाती बारिश मुझको
चाँद लुभाता यूँ ही क्या?
यूँ ही ठिठकता राहों में मैं
चलता हुआ अचानक से
कि मीलों दूर छत पर बैठी
तुमने पुकारा हो जैसे?
तन्हाई, तन्हाई-सी ही
होती या कुछ होती और?
मेरे सीने में धड़कन का
होता क्या फिर कोई ठौर?
आवारा क़दमों को क्या फिर
मिलती भी कोई मंज़िल?
बना-ठना-सा यूँ ही रहता
या फिर रहता मैं ज़ाहिल?
मेरे हँसने या रोने के
होते क्या कुछ माने भी?
कैसा होता घर आना
और टीस छोडकर जाने की?
सच तो इतना-सा भर है कि
होने को जो भी होता...
तुम जो 'तुम' नहीं होती तो
मैं भी कहाँ 'मैं' ही होता
ki tum jo nahin hoti to, phir. . .
bhor nikharti aise hi kya
thame kirnon ki ghunghat?
tab bhi uthti kya aise hi
saanjh Dhale ki akulahat?
raten hotin raton jaisi
ya din phir din hi hota?
yoon hi bhati barish mujhko
chaand lubhata yoon hi kyaa?
yoon hi thithakta rahon mein main
chalta hua achanak se
ki milon door chhat par baithi
tumne pukara ho jaise?
tanhai, tanhai si hi
hoti ya kuch hoti aur?
mere sine mein dhaDkan ka
hota kya phir koi thaur?
avara qadmon ko kya phir
milti bhi koi manzil?
bana thana sa yoon hi rahta
ya phir rahta main zahil?
mere hansne ya rone ke
hote kya kuch mane bhee?
kaisa hota ghar aana
aur tees chhoDkar jane kee?
sach to itna sa bhar hai ki
hone ko jo bhi hota. . .
tum jo tum nahin hoti to
main bhi kahan main hi hota
ki tum jo nahin hoti to, phir. . .
bhor nikharti aise hi kya
thame kirnon ki ghunghat?
tab bhi uthti kya aise hi
saanjh Dhale ki akulahat?
raten hotin raton jaisi
ya din phir din hi hota?
yoon hi bhati barish mujhko
chaand lubhata yoon hi kyaa?
yoon hi thithakta rahon mein main
chalta hua achanak se
ki milon door chhat par baithi
tumne pukara ho jaise?
tanhai, tanhai si hi
hoti ya kuch hoti aur?
mere sine mein dhaDkan ka
hota kya phir koi thaur?
avara qadmon ko kya phir
milti bhi koi manzil?
bana thana sa yoon hi rahta
ya phir rahta main zahil?
mere hansne ya rone ke
hote kya kuch mane bhee?
kaisa hota ghar aana
aur tees chhoDkar jane kee?
sach to itna sa bhar hai ki
hone ko jo bhi hota. . .
tum jo tum nahin hoti to
main bhi kahan main hi hota
स्रोत :
रचनाकार : गौतम राजऋषि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.