अलविदा कहना
लड़ना अपने ही रक्त में जमी स्मृतियों से
खंडित करना अपने हिस्से की पवित्र मूर्तियाँ
पवित्र और लांछित
कि रास्ता खोजना एक वीरान जंगल में अँधेरी झाड़ियों के बीच
ले जाता जो हमें
एक अंधी सुरंग बीच छोर नहीं जिसका
फिर भी तुमने अलविदा कहा
अलविदा कहा चले जाने की ज़िद में
अपने रक्त से मुझे निकाल बाहर किया
छिल-छिल गई तुम्हारी त्वचा शब्दों की खरोंच से
और मेरे मौन ने कर ली आत्महत्या
लेकिन हे स्त्री
जाकर भी कोई कहाँ जा पाता है
वह रह ही जाता थोड़ा
फिर-फिर लौटता
सुनो
बाद तुम्हारे जाने के
तुम्हें नहीं टागूँगाँ देवताओं की क़तार के बीच
इस पुराने घर की सबसे पवित्र जगह
तुम्हें रख दूँगा तकिए के नीचे
अपनी आत्मा की सबसे गोपन जगह
अपनी कविता की पीली डायरी बीच
दे दूँगा पूरा आकाश
अपने हिस्से की पूरी पृथ्वी
तुम हे स्त्री
तुम्हारी देह और आत्मा का एहसान है
सदियों से मेरे पुरुष पर
जिसे इसी जन्म में चुकाना है।
alawida kahna
laDna apne hi rakt mein jami smritiyon se
khanDit karna apne hisse ki pawitra murtiyan
pawitra aur lanchhit
ki rasta khojna ek wiran jangal mein andheri jhaDiyon ke beech
le jata jo hamein
ek andhi surang beech chhor nahin jiska
phir bhi tumne alawida kaha
alawida kaha chale jane ki zid mein
apne rakt se mujhe nikal bahar kiya
chhil chhil gai tumhari twacha shabdon ki kharonch se
aur mere maun ne kar li atmahatya
lekin he istri
jakar bhi koi kahan ja pata hai
wo rah hi jata thoDa
phir phir lautta
suno
baad tumhare jane ke
tumhein nahin tagungan dewtaon ki qatar ke beech
is purane ghar ki sabse pawitra jagah
tumhein rakh dunga takiye ke niche
apni aatma ki sabse gopan jagah
apni kawita ki pili Diary beech
de dunga pura akash
apne hisse ki puri prithwi
tum he istri
tumhari deh aur aatma ka ehsan hai
sadiyon se mere purush par
jise isi janm mein chukana hai
alawida kahna
laDna apne hi rakt mein jami smritiyon se
khanDit karna apne hisse ki pawitra murtiyan
pawitra aur lanchhit
ki rasta khojna ek wiran jangal mein andheri jhaDiyon ke beech
le jata jo hamein
ek andhi surang beech chhor nahin jiska
phir bhi tumne alawida kaha
alawida kaha chale jane ki zid mein
apne rakt se mujhe nikal bahar kiya
chhil chhil gai tumhari twacha shabdon ki kharonch se
aur mere maun ne kar li atmahatya
lekin he istri
jakar bhi koi kahan ja pata hai
wo rah hi jata thoDa
phir phir lautta
suno
baad tumhare jane ke
tumhein nahin tagungan dewtaon ki qatar ke beech
is purane ghar ki sabse pawitra jagah
tumhein rakh dunga takiye ke niche
apni aatma ki sabse gopan jagah
apni kawita ki pili Diary beech
de dunga pura akash
apne hisse ki puri prithwi
tum he istri
tumhari deh aur aatma ka ehsan hai
sadiyon se mere purush par
jise isi janm mein chukana hai
स्रोत :
रचनाकार : विमलेश त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.