अपनी इस चाहत में तुम
तोड़ सकते हो अपने सारे उसूल
जो शायद रहे ही न होंगे कभी
छीन सकते हो
किसी के सपने तक
अपनी मोहवाणी के जाल में
फाँस सकते हो
चुरा सकते हो संवेदनाओं को
बिना किसी आह के
तुम सरल को बहुत मुश्किल बना
अपने ओहदों के लिए
कर सकते हो कुछ भी
यक़ीनन!
अपनी इस अँधी चाहत में लेकिन
एक ख़्याल रखना
किसान को बीजने देना खेत
ग़रीब को भरपेट खाने देना।
अपनी असीमित चाहतों में
ले मत जाना किसी की ख़ुशियाँ
चुरा न लेना बच्चों की मासूमियत
अपनों का प्यार
किसी समाज की स्थिरता।
तुम आना हम सबके बीच
जनसेवा के झूठे वादों और
अपनी क्रूर चाहतों को कहीं
किसी ब्लैक होल में छोड़कर ही
यह चेतावनी है हुज़ूर।
apni is chahat mein tum
toD sakte ho apne sare usul
jo shayad rahe hi na honge kabhi
chheen sakte ho
kisi ke sapne tak
apni mohvani ke jaal men
phaans sakte ho
chura sakte ho sanvednaon ko
bina kisi aah ke
tum saral ko bahut mushkil bana
apne ohdon ke liye
kar sakte ho kuch bhi
yaqinan!
apni is andhi chahat mein lekin
ek khyaal rakhna
kisan ko bijne dena khet
gharib ko bharpet khane dena.
apni asimit chahton men
le mat jana kisi ki khushiyan
chura na lena bachchon ki masumiyat
apnon ka pyaar
kisi samaj ki sthirta.
tum aana hum sabke beech
janseva ke jhuthe vadon aur
apni kroor chahton ko kahin
kisi blaik hol mein chhoDkar hi
ye chetavni hai huzur.
apni is chahat mein tum
toD sakte ho apne sare usul
jo shayad rahe hi na honge kabhi
chheen sakte ho
kisi ke sapne tak
apni mohvani ke jaal men
phaans sakte ho
chura sakte ho sanvednaon ko
bina kisi aah ke
tum saral ko bahut mushkil bana
apne ohdon ke liye
kar sakte ho kuch bhi
yaqinan!
apni is andhi chahat mein lekin
ek khyaal rakhna
kisan ko bijne dena khet
gharib ko bharpet khane dena.
apni asimit chahton men
le mat jana kisi ki khushiyan
chura na lena bachchon ki masumiyat
apnon ka pyaar
kisi samaj ki sthirta.
tum aana hum sabke beech
janseva ke jhuthe vadon aur
apni kroor chahton ko kahin
kisi blaik hol mein chhoDkar hi
ye chetavni hai huzur.
स्रोत :
रचनाकार : पवन चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.