तू ज़िंदा है तो ज़िंदगी की जीत पे यक़ीन कर
अगर कहीं है स्वर्ग तो उतार ला ज़मीन पर।
ये सुबह-ओ-शाम के रँगे हुए गगन को चूमकर
तू सुन ज़मीन गा रही है कब से झूम-झूम कर!
तू आ मेरा सिंगार कर तू आ मुझे हसीन कर।
अगर कहीं है स्वर्ग तो उतार ला ज़मीन पर।
ये ग़म के और चार दिन सितम के और चार दिन
ये दिन भी जाएँगे गुज़र गुज़र गए हज़ार दिन
कभी तो होगी इस चमन पे भी बहार की नज़र।
अगर कहीं है स्वर्ग तो उतार ला ज़मीन पर।
हमारे कारवाँ का मंज़िलों को इंतज़ार है
ये आँधियों की बिजलियों की पीठ पर सवार है
जिधर पड़ेंगे ये क़दम बनेगी एक नई डगर।
हज़ार रूप धर के आई रात तेरे द्वार पर
मगर तुझे न छल सकी चली गई वो हार कर
नई सुबह के संग सदा मिली तुझे नई उमर।
अगर कहीं है स्वर्ग तो उतार ला ज़मीन पर।
tu zinda hai to zindagi ki jeet pe yaqin kar
agar kahin hai swarg to utar la zamin par
ye subah o sham ke range hue gagan ko chumkar
tu sun zamin ga rahi hai kab se jhoom jhoom kar!
tu aa mera singar kar tu aa mujhe hasin kar

ye gham ke aur chaar din sitam ke aur chaar din
ye din bhi jayenge guzar guzar gaye hazar din
kabhi to hogi is chaman pe bhi bahar ki nazar

hamare karwan ka manzilon ko intzar hai
ye andhiyon ki bijaliyon ki peeth par sawar hai
jidhar paDenge ye qadam banegi ek nai Dagar
hazar roop dhar ke i raat tere dwar par
magar tujhe na chhal saki chali gai wo haar kar
nai subah ke sang sada mili tujhe nai umar

स्रोत :
पुस्तक : अंदर की आग (पृष्ठ 93)
संपादक : रमा भारती
रचनाकार : शंकर शैलेंद्र
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.