1) उरनी और न्यूगलसरी किन्नौर की ऐसी दो छोटी पहाड़ियाँ हैं जो पिछले कुछ बर्षों से लगातार खिसकी रही हैं और सड़क को कई दिन तक बंद कर देती हैं। बता दें इन पहाड़ियों के अंदर से बिजली प्रोजैक्ट की पानी की सुरंगे निकाली गईं है।
2) पागल नाले हिमाचल के किन्नौर या अन्य क्षेत्रों की वे जगहें हैं जहॉं अचानक ही पानी निकल आता है और सड़क मार्ग को पूरी तरह से अवरुद्ध कर देता है। मौसम चाहे फिर कैसा भी हो।
3) पारच्छु हिमाचल-तिब्बत की सीमा पर स्थित एक बहुत बड़ी झील है जो बर्फ़ से सदा ढकी रहती है। लेकिन इस झील के पानी ने बर्ष 2000 और 2005 में हिमाचल के किन्नौर में जो तबाही मचाही है उसका डर किन्नौर के लोगों में हर गर्मी के मौसम में धमक जाता है।
4) खड्डू अर्थात बकरा।
तुम चाहते हो इस बहाव को रोकना
सतलुज के पैरों में कीलें गाड़ना
मोटी लोहे की रस्सी से कसना
उसके क़दम
खड़ी करना ऊँची-ऊँची दीवारें
चीन की दीवार से भी ऊँची
तुम क्यों चाह रहे हो मोड़ना
सदियों का उसका पथ
वह उसका अपना है
उसका एक-एक क्षण जुड़ा है इससे
इसकी मिट्टी
इसकी हर एक चट्टान से
यहाँ के लोक और परंपराओं से
यहाँ के देवताओं से
जिनका रास्ता रोकने की हिम्मत
आज तक नहीं कर पाया है कोई
और तुम
छिदवा रहे हो
ऊँचे-ऊँचे पहाड़
बिजली प्रोजेक्ट की आड़ में
कर रहे हो
बवंडर की तैयारी
न चाहते हुए भी
सतलुज का यह बहाव
चीर रहा है
पहाड़ की नसें
उसका दिल
क्यों लगे हो तलाशने अब
बावड़ी-कुँए के निशान
और सेबों की बम्पर फसल का सपना
निगल चुके हो तुम इसे
कम्पनी की राशि
मय और खड्डू के स्वाद के साथ
बिना डकार मारे
याद होगा तुम्हे शायद
पहाड़ पाल रहा है अपने भीतर
ख़ूब सारा ग़ुस्सा
बस तुम देखते जाओ
अब गिरेंगी कई और
उरनी और न्यूगलसरी की ढाँकें
और नाले होगें
पागल
अब एक और पारच्छु आएगा
चीन से नहीं
अपने ही घर से
सतलुज अब अपने उफान पर है।
tum chahte ho is bahav ko rokna
satluj ke pairon mein kilen gaDna
moti lohe ki rassi se kasana
uske qadam
khaDi karna uunchi uunchi divaren
cheen ki divar se bhi uunchi
tum kyon chaah rahe ho moDna
sadiyon ka uska path
wo uska apna hai
uska ek ek kshan juDa hai isse
iski mitti
iski har ek chattan se
yahan ke lok aur parampraon se
yahan ke devtaon se
jinka rasta rokne ki himmat
aaj tak nahin kar paya hai koi
aur tum
chhidva rahe ho
uunche uunche pahaD
bijli projekt ki aaD men
kar rahe ho
bavanDar ki taiyari
na chahte hue bhi
satluj ka ye bahav
cheer raha hai
pahaD ki nasen
uska dil
kyon lage ho talashne ab
bavDi kune ke nishan
aur sebon ki bampar phasal ka sapna
nigal chuke ho tum ise
kampni ki rashi
may aur khaDDu ke svaad ke saath
bina Dakar mare
yaad hoga tumhe shayad
pahaD paal raha hai apne bhitar
khoob sara ghussa
bas tum dekhte jao
ab girengi kai aur
urni aur nyugalasri ki Dhanken
aur nale hogen
pagal
ab ek aur parachchhu ayega
cheen se nahin
apne hi ghar se
satluj ab apne uphaan par hai.
1) urni aur nyugalasri kinnaur ki aisi do chhoti pahaDiyan hain jo pichhle kuch barshon se lagatar khiski rahi hain aur saDak ko kai din tak band kar deti hain. bata den in pahaDiyon ke andar se bijli projaikt ki pani ki surange nikali gain hai.
2) pagal nale himachal ke kinnaur ya anya kshetron ki ve jaghen hain jahaun achanak hi pani nikal aata hai aur saDak maarg ko puri tarah se avruddh kar deta hai. mausam chahe phir kaisa bhi ho.
3) parachchhu himachal tibbat ki sima par sthit ek bahut baDi jheel hai jo barf se sada Dhaki rahti hai. lekin is jheel ke pani ne barsh 2000 aur 2005 mein himachal ke kinnaur mein jo tabahi machahi hai uska Dar kinnaur ke logon mein har garmi ke mausam mein dhamak jata hai.
4) khaDDu arthat bakra.
tum chahte ho is bahav ko rokna
satluj ke pairon mein kilen gaDna
moti lohe ki rassi se kasana
uske qadam
khaDi karna uunchi uunchi divaren
cheen ki divar se bhi uunchi
tum kyon chaah rahe ho moDna
sadiyon ka uska path
wo uska apna hai
uska ek ek kshan juDa hai isse
iski mitti
iski har ek chattan se
yahan ke lok aur parampraon se
yahan ke devtaon se
jinka rasta rokne ki himmat
aaj tak nahin kar paya hai koi
aur tum
chhidva rahe ho
uunche uunche pahaD
bijli projekt ki aaD men
kar rahe ho
bavanDar ki taiyari
na chahte hue bhi
satluj ka ye bahav
cheer raha hai
pahaD ki nasen
uska dil
kyon lage ho talashne ab
bavDi kune ke nishan
aur sebon ki bampar phasal ka sapna
nigal chuke ho tum ise
kampni ki rashi
may aur khaDDu ke svaad ke saath
bina Dakar mare
yaad hoga tumhe shayad
pahaD paal raha hai apne bhitar
khoob sara ghussa
bas tum dekhte jao
ab girengi kai aur
urni aur nyugalasri ki Dhanken
aur nale hogen
pagal
ab ek aur parachchhu ayega
cheen se nahin
apne hi ghar se
satluj ab apne uphaan par hai.
1) urni aur nyugalasri kinnaur ki aisi do chhoti pahaDiyan hain jo pichhle kuch barshon se lagatar khiski rahi hain aur saDak ko kai din tak band kar deti hain. bata den in pahaDiyon ke andar se bijli projaikt ki pani ki surange nikali gain hai.
2) pagal nale himachal ke kinnaur ya anya kshetron ki ve jaghen hain jahaun achanak hi pani nikal aata hai aur saDak maarg ko puri tarah se avruddh kar deta hai. mausam chahe phir kaisa bhi ho.
3) parachchhu himachal tibbat ki sima par sthit ek bahut baDi jheel hai jo barf se sada Dhaki rahti hai. lekin is jheel ke pani ne barsh 2000 aur 2005 mein himachal ke kinnaur mein jo tabahi machahi hai uska Dar kinnaur ke logon mein har garmi ke mausam mein dhamak jata hai.
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।