उस तरह तो नहीं थिरकता अब रेगिस्तान का आँगन
उस तरह कबीलों में घूमते नहीं ऊँटहार अपने ऊँटों के साथ
और वह अब तक की जानी-पहचानी लोकधुन
नहीं पिरोती पंजाब और सिंध का चमन
ये टप्पा गाने वाले
ये ऊँट चराने वाले
ये रेगिस्तान से गुज़रकर उधर
पाकिस्तान तक जाने वाले
ढूँढ़ने पर मुश्किल से मिलते हैं अब
और यही हाल उधर का भी हो गया है
रावलपिंडी से लेकर पेशावर लाहौर तक फैली
पंजाबी बोली और सुनहरी रेत को एक रंग करती
टप्पा गायकी खोने के कगार पर है
वैसे खोने के मामले में पूरा इतिहास ही बना डाला है हमने
जैसे पंजाब सिंध का यह सलोना संगीत
कहीं गहरे से याद दिलाता है कि खोने को तो
हम सरहदों में बँटी रिश्तों की लोनाई
खो आए अट्ठावन साल पहले
छोड़ आए दूर महाराष्ट्र के सांगली मिरज़ में
देश भर के लिए तानपूरा बनाने की कारीगरी
और यह पुश्तैनी धंधा बिसराकर
मिरज़ कुछ नया ही गढ़ता है इन दिनों
ऐसे में टप्पा एक सभ्यता को गाता
एक सभ्यता के लोप का प्रतीक बन गया है
ऐसे में शोरी मियाँ का शुरू किया यह गंगा जमुनी जहूरा
रेत में कहीं दम तोड़ने लगा है
शोरी मियाँ भी कहाँ जानते थे
जिस सहरा की भयावह रातों को
ख़ुशनुमा ढंग से काटने के लिए वे
चाँद-सितारों से सजा टप्पा बनाकर लाए थे
वह रातें तवारीख़ में बिखरी सियासतों ने
खींच कर लंबी कर दी हैं
ये टप्पा गाने वाले
ये ऊँट चराने वाले
सतरंगी पगड़ियाँ पहने वे
नेहरा लगाने वाली गोरियों को बुलाने वाले
पता नहीं कहाँ चले गए
पंजाब के घर-घर में मिलने वाले
छाछ और सरसों के साग की तरह
इन बोल बंदिशों पर वहाँ की सोहनियाँ
कैसे भूल गईं फुलकारी करना
भैरवी मुल्तानी बरवा और काफ़ी की पुकार
कहाँ जाकर डूबी पता नहीं लगता
सहरा में कि चिनाब में
अमृतसर में कि लाहौर के अनारकली बाज़ार में
अपने दम को साधे साईं के वे सच्चे बंदे
आजकल कहाँ गाते हैं मियाँ नज़रे नेईं आन्दा वे
छोटे-छोटे बादलों के समूह जैसे आपस में गुँथे हुए
हज़ारों छोटे-बड़े झरने एक ही मेरुखंड की धरती पर गिरते हुए
अपने में व्यस्त तत्परता से आगे
निकलती हुईं जैसे ढेरों तितलियाँ
वैसे ढेरों फुदकते लफ़्ज़ों की चाल में ढला टप्पा
महाराष्ट्र के नाट्यसंगीत से मिलकर
बंगाल और आगरा तक आया
इसने हमारे विरह और प्रेम को भी
संयम से बरतना सिखाया
इधर जयपुर अतरौली की गलियों में इसे
साधते रहे जीवन भर मंझी ख़ाँ
दूर लाहौर में अंतिम दिनों तक
गाती रहीं रोशनआरा बेग़म यही टप्पा
इधर भी संगीत और पंजाब की बोली-बानी
उधर भी यही हाल हर गायक फ़नकार का
इधर भी पाकिस्तान की सरगम भरी दुनिया
उधर भी गाने वाले अपनी मिट्टी की सोंधी गमक में महफ़ूज़
यह एक ऐसा समय था
जब षडज से निषाद तक की आवाजाही में
दिन में कई बार आपस में खुलते थे
दो घरानों के किवाड़
कई तरह से भरी जाती थी सरगम
तानों की घूमर जैसी तेज़ गोलाई में
कई-कई दिनों तक अबूझ रह जाता था
गाई जा चुकी बंदिश का मिसरा
आज यह टप्पा गुम हो गया है
दौड़-भाग से भरी ज़िंदगी
और उसी तरह भागते हुए बिना अर्थ के
शोर वाले संगीत में
फिर भी अनारकली बाज़ार से गुज़रते हुए
रोशनआरा बेग़म की तान जब-तब कानों में पड़ती है
तब याद आते हैं बरबस उस वक्त
जयपुर घराने के आकाश तले
मंझी ख़ाँ अपने हवेली संगीत से
टप्पा का अंग निकालते हुए
उस समय शोरी मियाँ यकीनन यही कहते मिलेंगे
ओ मियाँ वे जाने वाले तानूँ अल्ला दी क़सम, फेर आ
ये टप्पा गाने वाले
ये सहरा के आर-पार घर बसाने वाले
ये उर्दू पंजाबी हिन्दवी को दोस्त बनाने वाले
अपने ऊँटों पर बैठकर
न जाने किधर निकल गए?
us tarah to nahin thirakta ab registan ka angan
us tarah kabilon mein ghumte nahin untahar apne unton ke sath
aur wo ab tak ki jani pahchani lokdhun
nahin piroti panjab aur sindh ka chaman
ye tappa gane wale
ye unt charane wale
ye registan se guzarkar udhar
pakistan tak jane wale
DhunDhane par mushkil se milte hain ab
aur yahi haal udhar ka bhi ho gaya hai
rawalpinDi se lekar peshawar lahore tak phaili
panjabi boli aur sunahri ret ko ek rang karti
tappa gaiki khone ke kagar par hai
waise khone ke mamle mein pura itihas hi bana Dala hai hamne
jaise panjab sindh ka ye salona sangit
kahin gahre se yaad dilata hai ki khone ko to
hum sarahdon mein banti rishton ki lonai
kho aaye atthawan sal pahle
chhoD aaye door maharashtr ke sangli miraz mein
desh bhar ke liye tanapura banane ki karigari
aur ye pushtaini dhandha bisrakar
miraz kuch naya hi gaDhta hai in dinon
aise mein tappa ek sabhyata ko gata
ek sabhyata ke lop ka pratik ban gaya hai
aise mein shori miyan ka shuru kiya ye ganga jamuni jahura
ret mein kahin dam toDne laga hai
shori miyan bhi kahan jante the
jis sahra ki bhayawah raton ko
khushnuma Dhang se katne ke liye we
chand sitaron se saja tappa banakar laye the
wo raten tawarikh mein bikhri siyaston ne
kheench kar lambi kar di hain
ye tappa gane wale
ye unt charane wale
satrangi pagDiyan pahne we
nehra lagane wali goriyon ko bulane wale
pata nahin kahan chale gaye
panjab ke ghar ghar mein milne wale
chhachh aur sarson ke sag ki tarah
in bol bandishon par wahan ki sohaniyan
kaise bhool gain phulkari karna
bhairawi multani barwa aur kafi ki pukar
kahan jakar Dubi pata nahin lagta
sahra mein ki chinab mein
amaritsar mein ki lahore ke anarkali bazar mein
apne dam ko sadhe sain ke we sachche bande
ajkal kahan gate hain miyan nazre nein aanda we
chhote chhote badlon ke samuh jaise aapas mein gunthe hue
hazaron chhote baDe jharne ek hi merukhanD ki dharti par girte hue
apne mein wyast tatparta se aage
nikalti huin jaise Dheron titliyan
waise Dheron phudakte lafzon ki chaal mein Dhala tappa
maharashtr ke natysangit se milkar
bangal aur agara tak aaya
isne hamare wirah aur prem ko bhi
sanyam se baratna sikhaya
idhar jaypur atrauli ki galiyon mein ise
sadhte rahe jiwan bhar manjhi khan
door lahore mein antim dinon tak
gati rahin roshanara begham yahi tappa
idhar bhi sangit aur panjab ki boli bani
udhar bhi yahi haal har gayak fankar ka
idhar bhi pakistan ki sargam bhari duniya
udhar bhi gane wale apni mitti ki sondhi gamak mein mahfuz
ye ek aisa samay tha
jab shaDaj se nishad tak ki awajahi mein
din mein kai bar aapas mein khulte the
do gharanon ke kiwaD
kai tarah se bhari jati thi sargam
tanon ki ghumar jaisi tez golai mein
kai kai dinon tak abujh rah jata tha
gai ja chuki bandish ka misra
aj ye tappa gum ho gaya hai
dauD bhag se bhari zindagi
aur usi tarah bhagte hue bina arth ke
shor wale sangit mein
phir bhi anarkali bazar se guzarte hue
roshanara begham ki tan jab tab kanon mein paDti hai
tab yaad aate hain barbas us wakt
jaypur gharane ke akash tale
manjhi khan apne haweli sangit se
tappa ka ang nikalte hue
us samay shori miyan yakinan yahi kahte milenge
o miyan we jane wale tanun alla di qas, pher aa
ye tappa gane wale
ye sahra ke aar par ghar basane wale
ye urdu panjabi hindwi ko dost banane wale
apne unton par baithkar
na jane kidhar nikal gaye?
us tarah to nahin thirakta ab registan ka angan
us tarah kabilon mein ghumte nahin untahar apne unton ke sath
aur wo ab tak ki jani pahchani lokdhun
nahin piroti panjab aur sindh ka chaman
ye tappa gane wale
ye unt charane wale
ye registan se guzarkar udhar
pakistan tak jane wale
DhunDhane par mushkil se milte hain ab
aur yahi haal udhar ka bhi ho gaya hai
rawalpinDi se lekar peshawar lahore tak phaili
panjabi boli aur sunahri ret ko ek rang karti
tappa gaiki khone ke kagar par hai
waise khone ke mamle mein pura itihas hi bana Dala hai hamne
jaise panjab sindh ka ye salona sangit
kahin gahre se yaad dilata hai ki khone ko to
hum sarahdon mein banti rishton ki lonai
kho aaye atthawan sal pahle
chhoD aaye door maharashtr ke sangli miraz mein
desh bhar ke liye tanapura banane ki karigari
aur ye pushtaini dhandha bisrakar
miraz kuch naya hi gaDhta hai in dinon
aise mein tappa ek sabhyata ko gata
ek sabhyata ke lop ka pratik ban gaya hai
aise mein shori miyan ka shuru kiya ye ganga jamuni jahura
ret mein kahin dam toDne laga hai
shori miyan bhi kahan jante the
jis sahra ki bhayawah raton ko
khushnuma Dhang se katne ke liye we
chand sitaron se saja tappa banakar laye the
wo raten tawarikh mein bikhri siyaston ne
kheench kar lambi kar di hain
ye tappa gane wale
ye unt charane wale
satrangi pagDiyan pahne we
nehra lagane wali goriyon ko bulane wale
pata nahin kahan chale gaye
panjab ke ghar ghar mein milne wale
chhachh aur sarson ke sag ki tarah
in bol bandishon par wahan ki sohaniyan
kaise bhool gain phulkari karna
bhairawi multani barwa aur kafi ki pukar
kahan jakar Dubi pata nahin lagta
sahra mein ki chinab mein
amaritsar mein ki lahore ke anarkali bazar mein
apne dam ko sadhe sain ke we sachche bande
ajkal kahan gate hain miyan nazre nein aanda we
chhote chhote badlon ke samuh jaise aapas mein gunthe hue
hazaron chhote baDe jharne ek hi merukhanD ki dharti par girte hue
apne mein wyast tatparta se aage
nikalti huin jaise Dheron titliyan
waise Dheron phudakte lafzon ki chaal mein Dhala tappa
maharashtr ke natysangit se milkar
bangal aur agara tak aaya
isne hamare wirah aur prem ko bhi
sanyam se baratna sikhaya
idhar jaypur atrauli ki galiyon mein ise
sadhte rahe jiwan bhar manjhi khan
door lahore mein antim dinon tak
gati rahin roshanara begham yahi tappa
idhar bhi sangit aur panjab ki boli bani
udhar bhi yahi haal har gayak fankar ka
idhar bhi pakistan ki sargam bhari duniya
udhar bhi gane wale apni mitti ki sondhi gamak mein mahfuz
ye ek aisa samay tha
jab shaDaj se nishad tak ki awajahi mein
din mein kai bar aapas mein khulte the
do gharanon ke kiwaD
kai tarah se bhari jati thi sargam
tanon ki ghumar jaisi tez golai mein
kai kai dinon tak abujh rah jata tha
gai ja chuki bandish ka misra
aj ye tappa gum ho gaya hai
dauD bhag se bhari zindagi
aur usi tarah bhagte hue bina arth ke
shor wale sangit mein
phir bhi anarkali bazar se guzarte hue
roshanara begham ki tan jab tab kanon mein paDti hai
tab yaad aate hain barbas us wakt
jaypur gharane ke akash tale
manjhi khan apne haweli sangit se
tappa ka ang nikalte hue
us samay shori miyan yakinan yahi kahte milenge
o miyan we jane wale tanun alla di qas, pher aa
ye tappa gane wale
ye sahra ke aar par ghar basane wale
ye urdu panjabi hindwi ko dost banane wale
apne unton par baithkar
na jane kidhar nikal gaye?
स्रोत :
रचनाकार : यतींद्र मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.