खाने की छुट्टी में
अपने डब्बे खोलकर
टूट पड़ते थे जब भूखे पशु की तरह
हम सब खाने पर
हमारी आँखों से बचते हुए
आहिस्ता-आहिस्ता वह नल के पास जाता था
और उसमें मुँह लगा देता था
मैं अक्सर देखता था
आती थी फ़ीस की तारीख़
जैसे-जैसे बहुत क़रीब
उसका ख़ून सूखता जाता था
किताब नहीं लाने पर
वह कई दफ़ा कुकड़ूँ-कूँ बोल चुका था
न जाने फिर भी क्यों
वह कक्षा में सबसे पहले आता था
गंदी क़मीज़ पहनने के कारण
उसे स्कूल से लौटा दिया गया
एक दिन घर
उस दिन के बाद स्कूल में
मैंने उसे फिर कभी नहीं देखा
एक झुलसती दोपहर में
वह बैठा दिखाई दिया मुझे
एक बन रही इमारत के क़रीब
उसके पास सीमेंट का एक ख़ाली तरल था
और खरोंच रहा था नाख़ून से वह
अपनी गदोली में बना काला तिल
khane ki chhutti mein
apne Dabbe kholkar
toot paDte the jab bhukhe pashu ki tarah
hum sab khane par
hamari ankhon se bachte hue
ahista ahista wo nal ke pas jata tha
aur usmen munh laga deta tha
main aksar dekhta tha
ati thi fees ki tarikh
jaise jaise bahut qarib
uska khoon sukhta jata tha
kitab nahin lane par
wo kai dafa kukDun koon bol chuka tha
na jane phir bhi kyon
wo kaksha mein sabse pahle aata tha
gandi qamiz pahanne ke karan
use school se lauta diya gaya
ek din ghar
us din ke baad school mein
mainne use phir kabhi nahin dekha
ek jhulasti dopahar mein
wo baitha dikhai diya mujhe
ek ban rahi imarat ke qarib
uske pas siment ka ek khali taral tha
aur kharonch raha tha nakhun se wo
apni gadoli mein bana kala til
khane ki chhutti mein
apne Dabbe kholkar
toot paDte the jab bhukhe pashu ki tarah
hum sab khane par
hamari ankhon se bachte hue
ahista ahista wo nal ke pas jata tha
aur usmen munh laga deta tha
main aksar dekhta tha
ati thi fees ki tarikh
jaise jaise bahut qarib
uska khoon sukhta jata tha
kitab nahin lane par
wo kai dafa kukDun koon bol chuka tha
na jane phir bhi kyon
wo kaksha mein sabse pahle aata tha
gandi qamiz pahanne ke karan
use school se lauta diya gaya
ek din ghar
us din ke baad school mein
mainne use phir kabhi nahin dekha
ek jhulasti dopahar mein
wo baitha dikhai diya mujhe
ek ban rahi imarat ke qarib
uske pas siment ka ek khali taral tha
aur kharonch raha tha nakhun se wo
apni gadoli mein bana kala til
स्रोत :
पुस्तक : ख़िलाफ़ हवा से गुज़रते हुए (पृष्ठ 70)
रचनाकार : विनोद दास
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.