मैं अभी गाँव गया था
केवल यह देखने
कि घर वाले बदल गए हैं
या
अभी तक यह सोचते हैं
कि मैं बड़ा आदमी बन कर लौटूँगा।
रास्ते में सागौन पीले पड़ गए थे
शायद अपनी पढ़ाई के अंतिम वर्ष में रहे होंगे
उन्हें भविष्य की चिंता रही होगी
मेरा भविष्य
मेरे सीने में है और मेरे गाँव में
बेशरम की झाड़ियाँ और ज़्यादा हरी हो गई हैं
मैं खेतों में जाकर देखना चाहता था
कि कहीं बीस गुना पैदा करने की कोशिश में
मुझे गेहूँ के साथ तो
बो नहीं दिया गया है
और मैं सचमुच
गेहूँ के बीच उगा हुआ था
अब मेरे लिए
ज़्यादा ठहरना ठीक नहीं था।
लौट आया हूँ
पानवाला मामा
कहो कविराज कह कर
मुस्कुरा रहा है।
main abhi ganw gaya tha
kewal ye dekhne
ki ghar wale badal gaye hain
ya
abhi tak ye sochte hain
ki main baDa adami ban kar lautunga
raste mein sagaun pile paD gaye the
shayad apni paDhai ke antim warsh mein rahe honge
unhen bhawishya ki chinta rahi hogi
mera bhawishya
mere sine mein hai aur mere ganw mein
beshram ki jhaDiyan aur zyada hari ho gai hain
main kheton mein jakar dekhana chahta tha
ki kahin bees guna paida karne ki koshish mein
mujhe gehun ke sath to
bo nahin diya gaya hai
aur main sachmuch
gehun ke beech uga hua tha
ab mere liye
zyada thaharna theek nahin tha
laut aaya hoon
panwala mama
kaho kawiraj kah kar
muskura raha hai
main abhi ganw gaya tha
kewal ye dekhne
ki ghar wale badal gaye hain
ya
abhi tak ye sochte hain
ki main baDa adami ban kar lautunga
raste mein sagaun pile paD gaye the
shayad apni paDhai ke antim warsh mein rahe honge
unhen bhawishya ki chinta rahi hogi
mera bhawishya
mere sine mein hai aur mere ganw mein
beshram ki jhaDiyan aur zyada hari ho gai hain
main kheton mein jakar dekhana chahta tha
ki kahin bees guna paida karne ki koshish mein
mujhe gehun ke sath to
bo nahin diya gaya hai
aur main sachmuch
gehun ke beech uga hua tha
ab mere liye
zyada thaharna theek nahin tha
laut aaya hoon
panwala mama
kaho kawiraj kah kar
muskura raha hai
स्रोत :
पुस्तक : तय तो यही हुआ था (पृष्ठ 49)
रचनाकार : शरद बिलौरे
प्रकाशन : परिमल प्रकाशन
संस्करण : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.