आदमी का असल दुख कहाँ है?
कोई पूछे, तो कहना
उस सुख की बग़ल में
जो संसार में है
उँगलियों को उलझाकर
उसने दो हथेलियों के बीच
बनाई है एक खिड़की
पूछो उस बच्चे से
कितना बड़ा है उसका आकाश
और कैसा है;
तो वह कहेगा
गोल चाँद के अलावा
अभी और कुछ नहीं आकाश में
यह सच है,
उसकी किताब के बाहर का सच
जिसे जेब में लिए
वह फुटबाल को किक मार रहा है
यहीं रहता है वह दुख
इसी बच्चे के घर में
इसके माँ बाप की तरह
इसे हर खतरे से बचाकर
बड़ा करते हुए दुख के बारे में
ईश्वर की अहेतुक कृपा है यह दुख
और यहीं रहता है मेरे मन में
उस सुख के साथ
जो मेरे घर में है
adami ka asal dukh kahan hai?
koi puchhe, to kahna
us sukh ki baghal mein
jo sansar mein hai
ungliyon ko uljhakar
usne do hatheliyon ke beech
banai hai ek khiDki
puchho us bachche se
kitna baDa hai uska akash
aur kaisa hai;
to wo kahega
gol chand ke alawa
abhi aur kuch nahin akash mein
ye sach hai,
uski kitab ke bahar ka sach
jise jeb mein liye
wo phutbal ko cick mar raha hai
yahin rahta hai wo dukh
isi bachche ke ghar mein
iske man bap ki tarah
ise har khatre se bachakar
baDa karte hue dukh ke bare mein
ishwar ki ahetuk kripa hai ye dukh
aur yahin rahta hai mere man mein
us sukh ke sath
jo mere ghar mein hai
adami ka asal dukh kahan hai?
koi puchhe, to kahna
us sukh ki baghal mein
jo sansar mein hai
ungliyon ko uljhakar
usne do hatheliyon ke beech
banai hai ek khiDki
puchho us bachche se
kitna baDa hai uska akash
aur kaisa hai;
to wo kahega
gol chand ke alawa
abhi aur kuch nahin akash mein
ye sach hai,
uski kitab ke bahar ka sach
jise jeb mein liye
wo phutbal ko cick mar raha hai
yahin rahta hai wo dukh
isi bachche ke ghar mein
iske man bap ki tarah
ise har khatre se bachakar
baDa karte hue dukh ke bare mein
ishwar ki ahetuk kripa hai ye dukh
aur yahin rahta hai mere man mein
us sukh ke sath
jo mere ghar mein hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रभात त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.