कुछ करना है कीजे, कीजे...
ना करना है, कुछ ना कीजे
जो सुंदर है, कोमलतम है, उसे ऐसे मरने ना दीजे...
मैं रहूँ तुम्हारी बातों में,
तुम रहो दिवा के ख़्वाबों में
होने पर ना होने पर
दो नयन रहें, कोमलतम है, उसे ऐसे मरने ना दीजे...
मैं ख़ुशी चुनूँ, तुम ख़ुशी चुनो
सब अपने-अपने दिल की सुनो
ख़ुशियों की पोटली भरे जब भी...
वहाँ दर्द को ज़रा जगह दीजे...
जो सुंदर है कोमलतम है, उसे ऐसे मरने ना दीजे...
बातें है मन की, मन से सुनो, ये ज़ेहन बड़ा ही ज़हरीला
मुश्किल है मेल, जहाँ सोच खड़ी
एक अहम् भी है ऊँचा टीला
दिल में चिंगारी रूमानी, एक पल तो उसे हवा दीजे
जो सुंदर है कोमलतम है, उसे ऐसे मरने ना दीजे...
kuch karna hai kije, kije
na karna hai, kuch na kije
jo sundar hai, komaltam hai, use aise marne na dije
main rahun tumhari baton mein,
tum raho diwa ke khwabon mein
hone par na hone par
do nayan rahen, komaltam hai, use aise marne na dije
main khushi chunun, tum khushi chuno
sab apne apne dil ki suno
khushiyon ki potli bhare jab bhi
wahan dard ko zara jagah dije
jo sundar hai komaltam hai, use aise marne na dije
baten hai man ki, man se suno, ye zehn baDa hi zahrila
mushkil hai mel, jahan soch khaDi
ek aham bhi hai uncha tila
dil mein chingari rumani, ek pal to use hawa dije

स्रोत :
पुस्तक : आपकमाई (पृष्ठ 36)
रचनाकार : स्वानंद किरकिरे
प्रकाशन : सार्थक
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.