यदि मुझे तितलियों कि भाषा आती
मैं उनसे कहता
तुम्हारी पीठ पर जाकर बैठ जाएँ
बिखेर दें अपने पँखों के रंग
जहाँ-जहाँ मेरे चुंबन की स्मृतियाँ
शेष बची हैं
ताकि वो जगह
इस जीवन के अंत तक महफ़ूज़ रहे।
महफ़ूज़ रहे,वो हर एक कविता
जिन्होंने अपनी यात्राएँ
तुम्हारी पीठ से होकर की
जिनकी उत्पत्ति तुमसे हुई
और अंत तुम्हारे प्रेम के साथ
यदि मौन की कोई
साहित्यिक भाषा होती
तो मेरा प्रेम, तुम्हारे लिए
अभिव्यक्ति की कक्षा में
पहला स्थान पाता
तुम्हारी आँखों से सीखे हुए
मौन संवाद पर लिखता
मैं एक लंबा-सा निबंध
इतना लंबा की, वो निंबध
उपन्यास बन जाता
और हमारा प्रेम
एक जीवंत मौन कहानी
मुझे हमेशा से
आदम जात के शब्दों में
शोर महसूस हुआ है
तुमने बताया की
प्रेम और भावनाओं की भाषा
उत्पत्ति से मौन रही
तुम उसी मौन से होकर
मेरी हर कविता का हिस्सा बनी।
yadi mujhe titaliyon ki bhasha aati
main unse kahta
tumhari peeth par jakar baith jayen
bikher den apne pankhon ke rang
jahan jahan mere chumban ki smritiyan
shesh bachi hain
taki wo jagah
is jivan ke ant tak mahfuz rahe.
mahfuz rahe,vo har ek kavita
jinhonne apni yatrayen
tumhari peeth se hokar ki
jinki utpatti tumse hui
aur ant tumhare prem ke saath
yadi maun ki koi
sahityik bhasha hoti
to mera prem, tumhare liye
abhivyakti ki kaksha mein
pahla sthaan pata
tumhari ankhon se sikhe hue
maun sanvad par likhta
main ek lamba sa nibandh
itna lamba ki, wo nimbadh
upanyas ban jata
aur hamara prem
ek jivant maun kahani
mujhe hamesha se
aadam jaat ke shabdon mein
shor mahsus hua hai
tumne bataya ki
prem aur bhavnaon ki bhasha
utpatti se maun rahi
tum usi maun se hokar
meri har kavita ka hissa bani.
yadi mujhe titaliyon ki bhasha aati
main unse kahta
tumhari peeth par jakar baith jayen
bikher den apne pankhon ke rang
jahan jahan mere chumban ki smritiyan
shesh bachi hain
taki wo jagah
is jivan ke ant tak mahfuz rahe.
mahfuz rahe,vo har ek kavita
jinhonne apni yatrayen
tumhari peeth se hokar ki
jinki utpatti tumse hui
aur ant tumhare prem ke saath
yadi maun ki koi
sahityik bhasha hoti
to mera prem, tumhare liye
abhivyakti ki kaksha mein
pahla sthaan pata
tumhari ankhon se sikhe hue
maun sanvad par likhta
main ek lamba sa nibandh
itna lamba ki, wo nimbadh
upanyas ban jata
aur hamara prem
ek jivant maun kahani
mujhe hamesha se
aadam jaat ke shabdon mein
shor mahsus hua hai
tumne bataya ki
prem aur bhavnaon ki bhasha
utpatti se maun rahi
tum usi maun se hokar
meri har kavita ka hissa bani.
स्रोत :
रचनाकार : हिमांक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.