इस थकान के सारे रास्ते को
जानना ज़रूरी है
या शायद थककर पेड़ के नीचे पसर जाना
ज़रूरी है
गर्मी की धूप में चमकती हरी पत्तियों की रोशनी
और अपने मैले कपड़ों की गंध को
महसूस करना
पता नहीं क्या ज़रूरी है
इस धूप में क्या
उन सारे रास्तों को भूल जाना
जो इस जगह पर हमें ले आए थे
थकान के बाद की एक पूरी नींद के बाद
तपते मौसम की हवा के स्पर्श को
समझना ज़रूरी है क्या
धीरे-धीरे पोटली में से
सड़ जाने से थोड़ा ही पहले
सब्ज़ी को निकालना
धूल से उसे बचाना
फिर देर तक पानी को खोजना
ज़रूरी है क्या।
is thakan ke sare raste ko
janna zaruri hai
ya shayad thakkar peD ke niche pasar jana
zaruri hai
garmi ki dhoop mein chamakti hari pattiyon ki roshni
aur apne maile kapDon ki gandh ko
mahsus karna
pata nahin kya zaruri hai
is dhoop mein kya
un sare raston ko bhool jana
jo is jagah par hamein le aaye the
thakan ke baad ki ek puri neend ke baad
tapte mausam ki hawa ke sparsh ko
samajhna zaruri hai kya
dhire dhire potli mein se
saD jane se thoDa hi pahle
sabzi ko nikalna
dhool se use bachana
phir der tak pani ko khojna
zaruri hai kya
is thakan ke sare raste ko
janna zaruri hai
ya shayad thakkar peD ke niche pasar jana
zaruri hai
garmi ki dhoop mein chamakti hari pattiyon ki roshni
aur apne maile kapDon ki gandh ko
mahsus karna
pata nahin kya zaruri hai
is dhoop mein kya
un sare raston ko bhool jana
jo is jagah par hamein le aaye the
thakan ke baad ki ek puri neend ke baad
tapte mausam ki hawa ke sparsh ko
samajhna zaruri hai kya
dhire dhire potli mein se
saD jane se thoDa hi pahle
sabzi ko nikalna
dhool se use bachana
phir der tak pani ko khojna
zaruri hai kya
स्रोत :
रचनाकार : विनोद भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.