आहिस्ता-आहिस्ता समय गुज़र गया है
शेष रह गया है उसका वज़न
थकी हुई पीली रोशनी है
जिसमें मेरे साथ चल रही है एक पुरानी रोशनी की परछाईं
सीढ़ियों पर किसी के हाँफने की आवाज़ है
एक बूढ़ा है जो अकेला हो गया है अपने अंतिम वक़्त में
बाहर कोई इतना थका हुआ है
कि चप्पल घसीटकर चल रहा है
उसमें घर लौटते हुए एक ताँगे की आवाज़ शामिल है
रिस रही हैं थकी हुई इच्छाओं की बूँदें
कुछ इतनी पुरानी हैं कि उनकी याद भी नहीं
ऐसी इच्छाओं के बारे में सोचना बेकार है अब
जिन्हें पाने की उम्र बीत गई
जो बची हैं रिस रही हैं धीरे-धीरे
जैसे बहुत लंबे सफ़र के आख़िर में रिसती है
थकान
जितनी बार चुप रहा
ख़ामोशी से सहन किया जितनी बार अन्याय
वे सारे क्षण इस समय की रात के आकाश में
दिख रहे हैं निस्तेज तारों की तरह
अत्याचारों से थकी पीठ का दर्द
फैल गया है पृथ्वी की मांसपेशियों में
फुटपाथ पर सोने जा रही
एक थकी हुई स्त्री की हँसी भी
आती है रात के इस थके हुए समय में
दूर करती हुई पृथ्वी की थकान
थकान
जो गुज़र गए समय का वज़न है।
ahista ahista samay guzar gaya hai
shesh rah gaya hai uska vazan
thaki hui pili roshni hai
jismen mere saath chal rahi hai ek purani roshni ki parchhain
siDhiyon par kisi ke hanphane ki avaz hai
ek buDha hai jo akela ho gaya hai apne antim vakt mein
bahar koi itna thaka hua hai
ki chappal ghasitkar chal raha hai
usmen ghar lautte hue ek tange ki avaz shamil hai
ris rahi hain thaki hui ichchhaun ki bunden
kuch itni purani hain ki unki yaad bhi nahin
aisi ichchhaun ke bare mein sochna bekar hai ab
jinhen pane ki umr beet gai
jo bachi hain ris rahi hain dhire dhire
jaise bahut lambe safar ke akhir mein risti hai
thakan
jitni baar chup raha
khamoshi se sahn kiya jitni baar annyaye
ve sare kshan is samay ki raat ke akash mein
dikh rahe hain nistej taron ki tarah
atyacharon se thaki peeth ka dard
phail gaya hai prithvi ki mansapeshiyon men
phutpath par sone ja rahi
ek thaki hui istri ki hansi bhi
aati hai raat ke is thake hue samay mein
door karti hui prithvi ki thakan
thakan
jo guzar gaye samay ka vazan hai.

स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 45)
रचनाकार : राजकमल प्रकाशन
प्रकाशन : कुमार अम्बुज
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.