दो बाँस के लट्ठे तन गए हैं
आसमान के गर्वीले मस्तक को भेदने के लिए
खपरैल ने ईंटों की दीवारों और छत के विरुद्ध
घृणा से अपनी भृकुटी चढ़ा ली है
सड़क के किनारे
बाँस और खपरैल की बनी
उस तंबूनुमा झोपड़ी में रहता है
ईंटें ढोने वाला एक श्रमिक
दिन भर सूरज से लड़ने के बाद
सड़क किनारे लगे खंभे के बल्ब की रोशनी में
वह पका रहा है खाना
रोज़ ही जलता है उसके घर दीया
पर आज दीवाली है
उसने रख दिया है एक दीया तंबू के बाहर भी
गाड़ियों की हेडलाइट्स, धुएँ और शोर के बीच लड़ता हुआ
वह दिलेर दीया
सड़कों की हेलोज़न रोशनी के बीच शान से टिमटिमाता हुआ
अपनी श्रम से उपजी ग़रीबी पर गर्वोन्मत्त
अपनी मर चुकी इच्छाओं की आत्माओं से जूझता हुआ
अपनी सहनशील झोपड़ी के हृदय में धड़कता हुआ
वह धीमी आँच वाला श्रमिक-सा दीया जल रहा है...
भीतर झोपड़ी में
वह मज़दूर अपनी थकान के ऐश्वर्य में सो गया है।
do bans ke latthe tan gaye hain
asman ke garwile mastak ko bhedne ke liye
khaprail ne inton ki diwaron aur chhat ke wiruddh
ghrina se apni bhrikuti chaDha li hai
saDak ke kinare
bans aur khaprail ki bani
us tambunuma jhopDi mein rahta hai
inten Dhone wala ek shramik
din bhar suraj se laDne ke baad
saDak kinare lage khambhe ke bulb ki roshni mein
wo paka raha hai khana
roz hi jalta hai uske ghar diya
par aaj diwali hai
usne rakh diya hai ek diya tambu ke bahar bhi
gaDiyon ki heDlaits, dhuen aur shor ke beech laDta hua
wo diler diya
saDkon ki helozan roshni ke beech shan se timtimata hua
apni shram se upji gharib par garwonmatt
apni mar chuki ichchhaon ki atmaon se jujhta hua
apni sahanshil jhopDi ke hirdai mein dhaDakta hua
wo dhimi anch wala shramik sa diya jal raha hai
bhitar jhopDi mein
wo mazdur apni thakan ke aishwary mein so gaya hai

स्रोत :
पुस्तक : मेरी यात्रा का ज़रूरी सामान (पृष्ठ 40)
रचनाकार : लीना मल्होत्रा राव
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.