मैं वो नहीं
रहता
जो बाहर दिखता हूँ
तेरे दर पर
मुझे कुछ होने लगता है
पानी में पाँव रखते
होठों से
जल स्पर्श करते/छूते
सर झुकाते
मेरे भीतर
टूटते जाते
टिब्बे ऊँचाइयाँ
बंद आँखें
समाधि में
कई रंग उभरते
अपने आप में न रहता मैं
आँसू... आँसू...
तरल हो जाता मैं
महीन
नसों में बहने लगता
तिरने लगता
दिल धड़कता एक अजीब लय में
हर अंग में उत्तेजना
बादलों में बारिश
गड़गडाहट
मैं और सख़्त हो जाता
धड़कता
ये आलिंगन
जोड़ता
मुझे
गुरु-द्वार से
भूखा शिशु जैसे
माँ के दूध को
नहीं छोड़ता
मैं नहीं छोड़ता
गुरु-द्वार।
main wo nahin
rahta
jo bahar dikhta hoon
tere dar par
mujhe kuch hone lagta hai
pani mein panw rakhte
hothon se
jal sparsh karte / chhute
sar jhukate
mere bhitar
tutte jate
tibbe unchaiyan
band ankhen
samadhi mein
kai rang ubharte
apne aap mein na rahta main
ansu ansu
taral ho jata main
muhin
nason mein bahne lagta
tirne lagta
dil dhaDakta ek ajib lai mein
har ang mein uttejna
badlon mein barish
gaDagDahat
main aur sakht ho jata
dhaDakta
ye alingan
joDta
mujhe
guru dwar se
bhukha shishu jaise
man ke doodh ko
nahin chhoDta
main nahin chhoDta
guru dwar
main wo nahin
rahta
jo bahar dikhta hoon
tere dar par
mujhe kuch hone lagta hai
pani mein panw rakhte
hothon se
jal sparsh karte / chhute
sar jhukate
mere bhitar
tutte jate
tibbe unchaiyan
band ankhen
samadhi mein
kai rang ubharte
apne aap mein na rahta main
ansu ansu
taral ho jata main
muhin
nason mein bahne lagta
tirne lagta
dil dhaDakta ek ajib lai mein
har ang mein uttejna
badlon mein barish
gaDagDahat
main aur sakht ho jata
dhaDakta
ye alingan
joDta
mujhe
guru dwar se
bhukha shishu jaise
man ke doodh ko
nahin chhoDta
main nahin chhoDta
guru dwar
स्रोत :
पुस्तक : कमंडल (पृष्ठ 91)
रचनाकार : मूल एवं हिंदी अनुवाद जसवंत दीद
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.