हे शिल्पि, तुम इन कठोर पहाड़ी पत्थरों को
अपनी इच्छानुसार विलासिनी छैनी से सुनहले तार के समान
बढ़ाते हो
और पत्थरों में भी गुदगुदी पैदा करते हो।
एलोरा की गुफ़ाओं के नित्य नूतन कविताओं के अवतारों ने
आँख-मिचौनी खेली।
हे शिल्पि कला के अग्रदूत! हे महामति! तुमने अपनी छैनी
में वह शक्ति भर दी है,
जो पत्थरों के हीरे बना सके।
तुमने मंदिरों के गोपुर-शिखरों पर
सुंदर कलाकृतियों का निर्माण किया और पर्वत शिखरों पर
अप्सराओं के नृत्य के लिए मधुर रस-शालाओं की
कल्पना करके
सुंदर काव्यों को रूप प्रदान किया है।
हे शिल्पिकुलावतंस! तुम्हें देखने भर से सभी पर्वत अपने-
आप रमणियों के कुचों,
मोहन कपोलों, भृकुटियों और अलकावलि का रूप धारण करके
अप्सराएँ बन जाते हैं और अपना रूप सँवार लेते हैं तो तुम
ब्रह्मा बनकर अपनी छैनी से
उन पर अमृत छिड़काकर जीवन दान देते हो।
पत्थरों को चूर-चूर करने वाले तुम्हारे हथौड़ों की कड़ी चोटों से
कृशीभूत पहाड़ियाँ चिल्ला-चिल्लाकर कहती हैं कि
हे शिल्पिकुलभूषण! तुम जैसा मनोहर रूप लेने का आदेश
दोगे वैसा रूप धारण करने को हम प्रस्तुत हैं।
तब हमें इस प्रकार क्यों चूर-चूर कर रहे हो?
हे कलानिधि! तुमने पत्थर खोदकर जो खंभे बनाए हैं,
उनसे ऐसी मधुर ध्वनि पैदा करते हैं,
जैसे इस्पात के तारों से निकलती है।
कठोर शिलाओं पर न जाने किस अनुपात से तुमने छैनी
चलाई है
कि वह ऐसा विदित होता है कि रस-राग की सृष्टि करने के लिए
तुमने अपना हृदय निकालकर पत्थर मे चिपका दिया हो।
हे शिल्पि! तुम्हारी उस सुदर भुजा दण्ड को देखकर
जिसमें तुम अपनी चमकीली और कला-वैभव से भरी हुई छैनी
लिए हुए हो,
ये सभी पहाड़ियाँ नवनीत के समान द्रवित होती हैं और आँसू
बनकर बहती हैं।
वाह! तुम्हारा भी कैसा पौरुष है कि जो प्रस्तरों को भी गला
देता है।
तुम्हारे कलापूर्ण कर-कमलों में पड़कर
प्रत्येक प्रस्तर-खंड एक सुंदर प्रतिमा के सदृश बन जाता है
और नवयुवती के समान दर्शकों के हृदय को
गुदगुदाकर राग-रंजित करता है।
he shilpi, tum in kathor pahaDi pattharon ko
apni ichchhanusar vilasini chhaini se sunahle taar ke saman
baDhate ho
aur pattharon mein bhi gudgudi paida karte ho.
elora ki gufaon ke nity nutan kavitaon ke avtaron ne
ankh michauni kheli.
he shilpi kala ke agradut! he mahamati! tumne apni chhaini
mein wo shakti bhar di hai,
jo pattharon ke hire bana sake.
tumne mandiron ke gopur shikhron par
sundar kalakritiyon ka nirman kiya aur parvat shikhron par
apsaraon ke nrity ke liye madhur ras shalaon ki
kalpana karke
sundar kavyon ko roop pradan kiya hai.
he shilpikulavtas! tumhein dekhne bhar se sabhi parvat apne
aap ramaniyon ke kucho,
mohan kapolon, bhrikutiyon aur alkavali ka roop dharan karke
apsarayen ban jate hain aur apna roop sanvar lete hain to tum
brahma bankar apni chhaini se
un par amrit chhiDkakar jivan daan dete ho.
pattharon ko choor choor karne vale tumhare hathauDon ki kaDi choton se
krishibhut pahaDiyan chilla chillakar kahti hai ki
he shilpikulbhushan! tum jaisa manohar roop lene ka adesh
doge vaisa roop dharan karne ko hum prastut hai.
tab hame is prakar kyon choor choor kar rahe ho?
he kalanidhi! tumne patthar khodkar jo khambhe banaye hain,
unse aisi madhur dhvani paida karte hain,
jaise ispaat ke taron se nikalti hai.
kathor shilaon par na jane kis anupat se tumne chhaini
chalai hai
ki wo aisa vidit hota hai ki ras raag ki sirishti karne ke liye
tumne apna hirdai nikalkar patthar mae chipka diya ho.
he shilpi! tumhari us sudar bhunja danD ko dekhkar
jismen tum apni chamkili aur kala vaibhav se bhari hui chhaini
liye hue ho,
ye sabhi pahaDiyan navanit ke saman drvit hoti hain aur ansu
bankar bahti hain. vaah! tumhara bhi kaisa paurush hai ki jo prastron ko bhi gala
deta hai.
tumhare kalapurn mein paDkar
pratyek prastar khanD ek sundar pratibha ke sadrish ban jata hai
aur navyuvti ke saman darshkon ke hday ko
gudagudakar raag ranjit karta hai.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 389)
रचनाकार : दाशरथि
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.