रोज़ आते-जाते
क्रिमेटोरियम मुझे टोकता है
मैं भी धीरे से
उससे कह देता हूँ
अभी सब्र करो (इंतज़ार करो मेरे करने का)
और वह हँस पड़ता है
मैं मुट्ठियाँ ऊँची करके
ज़ोर से चीख़ पड़ता हूँ—
अभी मैं किसी निर्णय पर नहीं पहुँचा हूँ
मेरे भटकाव अभी बाक़ी हैं
मेरा बचपना अभी शेष है—
पर वह है कि हँसे जाता है
निरंतर बढ़ती जाती
उसकी दमघोट हँसी
मेरे इर्द-गिर्द लिपट जाती है
अचानक मुझे लगता है
—मैं जकड़ लिया गया हूँ
किसी नागपाश में
—मेरी हर शुरुआत
मुझे क्रिमेटोरियम ले जा रही है
—मेरा हर पड़ाव,
क्रिमेटोरियम के पास बन रहा है
और यह भी ख़ूब है—
मेरी इजाज़त के बिना ही
क्रिमेटोरियम मेरे अंदर उग आया है।
roz aate jate
krimetoriyam mujhe tokta hai
main bhi dhire se
usse kah deta hoon
abhi sabr karo (intzar karo mere karne ka)
aur wo hans paDta hai
main mutthiyan unchi karke
zor se cheekh paDta hoon—
abhi main kisi nirnay par nahin pahuncha hoon
mere bhatkaw abhi baqi hain
mera bachpana abhi shesh hai—
par wo hai ki hanse jata hai
nirantar baDhti jati
uski damghot hansi
mere ird gird lipat jati hai
achanak mujhe lagta hai
—main jakaD liya gaya hoon
kisi nagapash mein
—meri har shuruat
mujhe krimetoriyam le ja rahi hai
—mera har paDaw,
krimetoriyam ke pas ban raha hai
aur ye bhi khoob hai—
meri ijazat ke bina hi
krimetoriyam mere andar ug aaya hai
roz aate jate
krimetoriyam mujhe tokta hai
main bhi dhire se
usse kah deta hoon
abhi sabr karo (intzar karo mere karne ka)
aur wo hans paDta hai
main mutthiyan unchi karke
zor se cheekh paDta hoon—
abhi main kisi nirnay par nahin pahuncha hoon
mere bhatkaw abhi baqi hain
mera bachpana abhi shesh hai—
par wo hai ki hanse jata hai
nirantar baDhti jati
uski damghot hansi
mere ird gird lipat jati hai
achanak mujhe lagta hai
—main jakaD liya gaya hoon
kisi nagapash mein
—meri har shuruat
mujhe krimetoriyam le ja rahi hai
—mera har paDaw,
krimetoriyam ke pas ban raha hai
aur ye bhi khoob hai—
meri ijazat ke bina hi
krimetoriyam mere andar ug aaya hai
स्रोत :
पुस्तक : निषेध के बाद (पृष्ठ 117)
संपादक : दिविक रमेश
रचनाकार : शैल कुमारी
प्रकाशन : विक्रांत प्रेस
संस्करण : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.