तीन आदमी गए झूमते हुए माहिम की तरफ़
उनमें से एक मुझे ऐसा आदमी लगा जो
अपने ही सपने में मर गया था
यानी मैंने उसका सपना देखा जो उसका था
या कहो कि उस सपने की मीयाद में
मैं वह बन गया
उनमें से दूसरा सारे वक़्त शब्दों से जूझता था
लाखों दिनों से वह उसी तरह जूझता था सड़क पर
तो कोई ध्यान दिए बिना हम आगे चलते रहे
क्योंकि उससे ज़्यादा उसके नुमाइशी शब्द
और संसार के सारे शब्द अजायबघर में रखे
भुस-भरे परिंदों की मानिंद लगते हैं
तीन आदमी गए झूमते हुए सड़क पर
उनमें से एक मैं था ऐसा बताया बाकी दो ने
तो मैं क्यों करूँ इंकार और किस बात से।
teen adami gaye jhumte hue mahim ki taraf
unmen se ek mujhe aisa adami laga jo
apne hi sapne mein mar gaya tha
yani mainne uska sapna dekha jo uska tha
ya kaho ki us sapne ki miyad mein
main wo ban gaya
unmen se dusra sare waqt shabdon se jujhta tha
lakhon dinon se wo usi tarah jujhta tha saDak par
to koi dhyan diye bina hum aage chalte rahe
kyonki usse zyada uske numaishi shabd
aur sansar ke sare shabd ajayabghar mein rakhe
bhus bhare parindon ki manind lagte hain
teen adami gaye jhumte hue saDak par
unmen se ek main tha aisa bataya baki do ne
to main kyon karun inkar aur kis baat se

स्रोत :
पुस्तक : साठोत्तर मराठी कविताएँ (पृष्ठ 91)
संपादक : चंद्रकांत पाटील
रचनाकार : चंद्रकांत पाटील
प्रकाशन : साहित्य भंडार
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.