तभी बुलाती है कवि को कविता
जब वह घुटनों तक सना
मिट्टी में रोप रहा होता है धान
या जब कमर भर पानी में रगड़ रहा होता है
भैंस की पीठ
याकि फिर किताबों में डूब उतरा रहा होता है
पकड़कर बच्चों का हाथ
कोल्हार की ओर बढ़ रहा होता है
जब वह लादे सर पर मन भर गन्ना
या पीछे साइकिल पर बिठाए पत्नी को
जा रहा होता है हाट-बाज़ार
या फिर बड़ेरी पर चढ़ाने को थामे खड़ा होता है छप्पर
दूर आम की फुनगी या उसके भी पार से
बुलाने लगती है उसे कविता
आनन-फानन में धोकर हाथ
ढूँढ काग़ज़-क़लम ज्यों बढ़ता है
वह उसकी ओर
हो जाती है रफ़ू-चक्कर
याकि छूमंतर
फिर भी उतारता है उसको
दसांश या शतांश जितना भी बच पाती है
मन के पटल पर उसकी आवाज़
जानता है वह
आएगी फिर ढूँढ़ते हुए वह उसे
और रह जाएगा वह फिर हाथ लभेड़े ताकता उसे
सुदूर आकाश में हँसेगी और छेड़ेगी कविता
कह कहकर उसे—
'क्या हुआ कवि!
कुछ लिखोगे नहीं'
फिर छिटके हुए शब्दों से
कवि लिखेगा कविता।
tabhi bulati hai kavi ko kavita
jab wo ghutnon tak sana mitti mein rop raha hota hai dhaan
ya jab kamar bhar pani mein ragaD raha hota hai bhains ki peeth
yaki phir kitabon mein Doob utra raha hota hai pakaDkar bachchon ka haath
kolhar ki or baDh raha hota hai jab wo lade sar par man bhar ganna
ya pichhe cycle par bithaye patni ko ja raha hota hai haat bazar
ya phir baDeri par chaDhane ko thame khaDa hota hai chhappar
door aam ki phungi ya uske bhi paar se
bulane lagti hai use kavita
aanan phanan mein dhokar haath
DhoonDh kagaz kalam jyon baDhta hai wo uski or
ho jati hai rafu chakkar
yaki chhumantar
phir bhi utarta hai usko dasansh shatansh jitna bhi bach pati hai man ke patal par uski avaz
janta hai wo
ayegi phir DhunDhate hue wo use
aur rah jayega wo phir haath labheDe takta use
sudur akash mein hansegi aur chheDegi kavita
kah kahkar use—
kya hua kavi!
kuch likhoge nahin
phir chhitke hue shabdon se
kavi likhega kavita.

स्रोत :
रचनाकार : आलोक कुमार मिश्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.