क़ीमत लगाई जाए तो उन शब्दों को किस दाम पर बेचा जाएगा
जो डायरी में नहीं देख पाती हैं आँखें—
दिन भर ताज़ा सुर्ख़ियों से चौंधिया कर रातों को पन्ने पलटने के बाद
आख़िर पढ़ेगा कौन
अगर क़लम से निकला हुआ हर अक्षर केवल सुबह की उफनती चाय
दुपहर में सीझ रही दाल
और रातों को कड़ाही में पानी छोड़ती सब्ज़ियों की पुकारों को ही आवाज़ दे
ऐसे प्रश्न यह समझ लेने के बाद भी कि अख़बारों के पन्नों में खो जाने से बेहतर है
फ़ोटो अल्बम की तस्वीर हो जाना
या डायरी में गुदे हुए चंद अक्षर
अपनों के लिए या सिर्फ़ अपने लिए ही कचोटते हैं—
बिस्तर पर पलट जाने के बाद
एक और दिन
वही चौका
वही चूल्हा
पाषाण
और
कविता पर कविता लिखने वाले कविता पर कविता लिखते रहे
qimat lagai jaye to un shabdon ko kis dam par becha jayega
jo Diary mein nahin dekh pati hain ankhen—
din bhar taza surkhiyon se chaundhiya kar raton ko panne palatne ke baad
akhir paDhega kaun
agar qalam se nikla hua har akshar kewal subah ki uphanti chay
duphar mein seejh rahi dal
aur raton ko kaDahi mein pani chhoDti sabziyon ki pukaron ko hi awaz de
aise parashn ye samajh lene ke baad bhi ki akhbaron ke pannon mein kho jane se behtar hai
photo albam ki taswir ho jana
ya Diary mein gude hue chand akshar
apnon ke liye ya sirf apne liye hi kachotte hain—
bistar par palat jane ke baad
ek aur din
wahi chauka
wahi chulha
pashan
aur
kawita par kawita likhne wale kawita par kawita likhte rahe

स्रोत :
रचनाकार : उपांशु
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.