बंद खिड़कियों से
हवा नहीं उतरती फेफड़ों में
ठंड की सुरमई सफ़ोकेशन में
और देह की मद्धिम रोशनी में
कुछ साँसें अटकी पड़ी हैं इक सुरंग में
हम उन्मादी दौर से गुज़र रहे हैं
लिए फुलझडियाँ
लालटेन की कुछ मज़बूर रौशनियाँ
और सैकड़ों स्त्रियाँ
सड़कों पर चल रही हैं निर्वस्त्र
सर झुकाए हुए
हाथों में कुछ पन्ने पलटतीं
संसद में जीत की होड़ है
समाचारों में सनातनों को बचा ले आने की ख़ुशी
बिलबिलाती हुई साँसें
बोलती हुई अश्लिलताएँ
इक शोर
जो निगलता जाता है तथ्य
ख़ुश रहने की कोशिश
समाचारों से ख़ुद को बेदखल करते हुए
रक्तचाप की दाब पर निरंतर बढ़ती हुई साँसें
लोकतंत्र के इस उन्मादी पल में
जब कुछ नहीं सूझता
बेबसी नब्ज़ थामकर
आँखों से रिस-रिस जाती है
band khiDakiyon se
hava nahin utarti phephDon men
thanD ki suramii safokeshan men
aur deh ki maddhim roshni men
kuch sansen atki paDi hain ik surang men
hum unmadi daur se guzar rahe hain
liye phulajhaDiyan
lalten ki kuch mazbur raushaniyan
aur saikDon striyan
saDkon par chal rahi hain nirvastr
sar jhukaye hue
hathon mein kuch panne palattin
sansad mein jeet ki hoD hai
samacharon mein sanatnon ko bacha le aane ki khushi
bilbilati hui sansen
bolti hui ashliltayen
ik shor
jo nigalta jata hai tathya
khush rahne ki koshish
samacharon se khud ko bedakhal karte hue
raktachap ki daab par nirantar baDhti hui sansen
loktantr ke is unmadi pal men
jab kuch nahin sujhta
bebasi nabz thamkar
ankhon se ris ris jati hai
band khiDakiyon se
hava nahin utarti phephDon men
thanD ki suramii safokeshan men
aur deh ki maddhim roshni men
kuch sansen atki paDi hain ik surang men
hum unmadi daur se guzar rahe hain
liye phulajhaDiyan
lalten ki kuch mazbur raushaniyan
aur saikDon striyan
saDkon par chal rahi hain nirvastr
sar jhukaye hue
hathon mein kuch panne palattin
sansad mein jeet ki hoD hai
samacharon mein sanatnon ko bacha le aane ki khushi
bilbilati hui sansen
bolti hui ashliltayen
ik shor
jo nigalta jata hai tathya
khush rahne ki koshish
samacharon se khud ko bedakhal karte hue
raktachap ki daab par nirantar baDhti hui sansen
loktantr ke is unmadi pal men
jab kuch nahin sujhta
bebasi nabz thamkar
ankhon se ris ris jati hai
स्रोत :
रचनाकार : गुंजन उपाध्याय पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.