…लड़की!
रात को यह शहर होता है एक जंगल।
रात को इस शहर की सड़कें होती हैं गुफाएँ।
रात को यह शहर आदमी से हो जाता है सुनसान।
लड़की!
सुनसान गुफाओं में चमगादड़ पङ्ख फड़फड़ाते रहते हैं,
अँधेरा ओढ़े।
लड़की!
चमगादड़ नहीं चाहते उजाला।
वे जहाँ भी देखते हैं कुछ चमकता हुआ;
पाँखें फड़फड़ाकर झपट्टा मारते हैं और
पञ्जों से उसे आहत करने लगते हैं।
रात को
तुम घर से बाहर निकलो तो उरोजों को छाती पर कसकर निकलना।
और—
संभव हो तो हाथ में धारदार रखना। [यथा : नख बढ़े। और पैने।]
ओ सुंदर लड़़की!
ओ, रात को घर से बाहर निकलने वाली सुंदर लड़की!
रात में तुम्हारा चेहरा बहुत चमकता है!
…laDki!
raat ko ye shahr hota hai ek jangal
raat ko is shahr ki saDken hoti hain guphayen
raat ko ye shahr adami se ho jata hai sunsan
laDki!
sunsan guphaon mein chamgadaD pankh phaDphaDate rahte hain,
andhera oDhe
laDki!
chamgadaD nahin chahte ujala
we jahan bhi dekhte hain kuch chamakta hua;
pankhen phaDaphDakar jhapatta marte hain aur
panjon se use aahat karne lagte hain
raat ko
tum ghar se bahar niklo to urojon ko chhati par kaskar nikalna
aur—
sambhaw ho to hath mein dharadar rakhna [yatha ha nakh baDhe aur paine ]
o sundar laDki!
o, raat ko ghar se bahar nikalne wali sundar laDki!
raat mein tumhara chehra bahut chamakta hai!

स्रोत :
रचनाकार : अमिताभ चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.