चौके पर चढ़ कर चाय पकाती लड़की ने देखा
उसकी गुड़िया का रिबन चाय की भाप में पिघल रहा है
बर्तनों को माँजते हुए देखा उसने
उसकी किताब में लिखी इबारतें घिसती जा रही हैं
चौक बुहारते हुए अक्सर उसके पाँवों में
चुभ जाया करती हैं सपनों की किरचें
किरचों के चुभने से बहते लहू पर
गुड़िया का रिबन बाँध लेती है वह अक्सर
इबारतों को आँगन पर उकेरती और
पोंछ देती है ख़ुद ही रोज़ उन्हें
सपनों को कभी जूड़े में लपेटना
और कभी साड़ी के पल्लू में बाँध लेना
साध लिया है उसने
साइकिल के पैडल मारते हुए
रोज़ नाप लेती है इरादों का कोई एक फ़ासला
बिस्तर लगाते हुए लेती है थाह अक्सर
चादर की लंबाई की
देखती है अपने पैरों का पसार और
समेट कर रखती जाती है चादर को
सपनों का राजकुमार नहीं है वह जो
उसके घर के बाहर साइकिल पर लगाता है चक्कर
उसके स्वप्न में घर के चारों तरफ़ दरवाज़े हैं
जिनमें धूप की आवाजाही है
अमलतास के बिछौने पर गुलमोहर झरते हैं वहाँ
जागती है वह जून के निर्जन में
सूखे गुलमोहर के तले।
chauke par chaDh kar chay pakati laDki ne dekha
uski guDiya ka ribbon chay ki bhap mein pighal raha hai
bartnon ko manjate hue dekha usne
uski kitab mein likhi ibarten ghisti ja rahi hain
chauk buharte hue aksar uske panwon mein
chubh jaya karti hain sapnon ki kirchen
kirchon ke chubhne se bahte lahu par
guDiya ka ribbon bandh leti hai wo aksar
ibarton ko angan par ukerti aur
ponchh deti hai khu hi roz unhen
sapnon ko kabhi juDe mein lapetna
aur kabhi saDi ke pallu mein bandh lena
sadh liya hai usne
cycle ke paiDal marte hue
roz nap leti hai iradon ka koi ek fasla
bistar lagate hue leti hai thah aksar
chadar ki lambai ki
dekhti hai apne pairon ka pasar aur
samet kar rakhti jati hai chadar ko
sapnon ka rajakumar nahin hai wo jo
uske ghar ke bahar cycle par lagata hai chakkar
uske swapn mein ghar ke charon taraf darwaze hain
jinmen dhoop ki awajahi hai
amaltas ke bichhaune par gulmohar jharte hain wahan
jagti hai wo june ke nirjan mein
sukhe gulmohar ke tale
chauke par chaDh kar chay pakati laDki ne dekha
uski guDiya ka ribbon chay ki bhap mein pighal raha hai
bartnon ko manjate hue dekha usne
uski kitab mein likhi ibarten ghisti ja rahi hain
chauk buharte hue aksar uske panwon mein
chubh jaya karti hain sapnon ki kirchen
kirchon ke chubhne se bahte lahu par
guDiya ka ribbon bandh leti hai wo aksar
ibarton ko angan par ukerti aur
ponchh deti hai khu hi roz unhen
sapnon ko kabhi juDe mein lapetna
aur kabhi saDi ke pallu mein bandh lena
sadh liya hai usne
cycle ke paiDal marte hue
roz nap leti hai iradon ka koi ek fasla
bistar lagate hue leti hai thah aksar
chadar ki lambai ki
dekhti hai apne pairon ka pasar aur
samet kar rakhti jati hai chadar ko
sapnon ka rajakumar nahin hai wo jo
uske ghar ke bahar cycle par lagata hai chakkar
uske swapn mein ghar ke charon taraf darwaze hain
jinmen dhoop ki awajahi hai
amaltas ke bichhaune par gulmohar jharte hain wahan
jagti hai wo june ke nirjan mein
sukhe gulmohar ke tale
स्रोत :
रचनाकार : देवयानी भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.