स्त्रियों के पास दुख के अनेक पाठ हैं
पाठ में चालाक पुरोहित है और नदियाँ नक्षत्र आकाश चिड़िया
आग मछली इत्यादि कुछ नहीं है
स्त्रियाँ अगर इस तथ्य से
चकित नहीं हैं तो इसमें चिड़िया आग मछली इत्यादि का
कोई क़सूर नहीं है इस पर लगभग सभी सहमत हैं
इस पर भी लगभग सभी सहमत हैं कि दुख के वास्तविक
पाठ पर वास्तविक विमर्श स्त्रियाँ शुरू नहीं करेंगी
हो सकता है ईश्वर शुरू करे
उसकी सराय में रहने वाले पुरोहित शुरू करें
वह अँगूठी शुरू करे जो किसी मछली के पेट में जाते-जाते बच गई है
किसी दूसरे ग्रह की दूसरी स्त्रियाँ अगर इस विमर्श में साझीदार हैं
तो उनकी आँख कान नाक टख़ने इत्यादि हमारी स्त्रियों जैसे नहीं
होने चाहिए इतना लगभग तय है
वहाँ पाठ का दुख है संताप है
वहाँ सड़कों और सपनों और स्मृतियों का वज़न
पलकों से उठाने का रिवाज नहीं है
हृदय के पास बैठे चंद्रमा को झुककर देखने और
उसके दाग़ को भी अद्भुत मानने वाली संस्कृति के बारे में तो
सोचना ही निरर्थक है
स्त्रियाँ अपनी पीठ अच्छी तरह पहचानती हैं
वहाँ दुख के अनेक पाठ हैं
और अनेक पाठ
उत्तर-पाठ नहीं हैं
striyon ke pas dukh ke anek path hain
path mein chalak purohit hai aur nadiyan nakshatr akash chiDiya
ag machhli ityadi kuch nahin hai
striyan agar is tathy se
chakit nahin hain to ismen chiDiya aag machhli ityadi ka
koi qasu nahin hai is par lagbhag sabhi sahmat hain
is par bhi lagbhag sabhi sahmat hain ki dukh ke wastawik
path par wastawik wimarsh striyan shuru nahin karengi
ho sakta hai ishwar shuru kare
uski saray mein rahne wale purohit shuru karen
wo anguthi shuru kare jo kisi machhli ke pet mein jate jate bach gai hai
kisi dusre grah ki dusri striyan agar is wimarsh mein sajhidar hain
to unki ankh kan nak takhne ityadi hamari striyon jaise nahin
hone chahiye itna lagbhag tay hai
wahan path ka dukh hai santap hai
wahan saDkon aur sapnon aur smritiyon ka wazan
palkon se uthane ka riwaj nahin hai
hirdai ke pas baithe chandrma ko jhukkar dekhne aur
uske dagh ko bhi adbhut manne wali sanskriti ke bare mein to
sochna hi nirarthak hai
striyan apni peeth achchhi tarah pahchanti hain
wahan dukh ke anek path hain
aur anek path
uttar path nahin hain

स्रोत :
रचनाकार : महेश आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.