स्त्रियों को इस तरह से ढक रखा है उपमाओं ने
जैसे यथार्थ को रखती है शुद्धता और पैमाना।
मुझे लगता है कि कभी ऐसी कविता लिखी जाएगी
जो तथा कथित सभी उपमाओं पर भारी होगी
जैसे रात के अंधेरे पर सुबह का उजाला...!
ऐसी कविता जो उसकी देह पर नहीं
उसकी दशाओं पर बात करे
इतनी प्रत्यक्ष हो कि वह बदलाव लाए,
जो माना जाए नि:स्वार्थ होकर.!
कभी तो परिवर्तन होगी न
उसकी ख़ूबसूरती के पैमाने में.!
सोचती हूँ ऐसी कविता तो आएगी ही
जो जला देगी उसकी भीतरी तमस में
उम्मीद का एक छोटा-सा भी दीया.!
ऐसी कविताएँ नहीं होगी वृक्षों की तरह,
जिस पर फल सदृश लगे हो कल्पना
या बंदिशों की पहचान
इस परिधि से बाहर निकलेगी लड़कियाँ?
ज़रूर निकलेगी...!
लेकिन सहारे से वह निकल नहीं पाएँगी
उन्हें ख़ुद के बूते से ख़ुद से ही
निकलना होगा
ऐसी बद-बदन वाले उपमाओं के ऊपर
अपने यथार्थ और दशाओं वाली कविताओं को
आत्मविश्वास से उस पर जड़ से लगाना होगा...!
जिस तरह एक व्यक्ति के ईमानदार होने से
सभी व्यक्ति ईमानदार नहीं होते
ठीक उसी तरह
एक स्त्री के बोलने से
सभी स्त्रियों की बात नहीं होती...!
अपने हिस्से की मुक्ति ख़ुद से संभव करोगी आप
तभी जाकर आएगी मानव इतिहास में
पूर्ण बदलाव...!!
striyon ko is tarah se Dhak rakha hai upmaon ne
jaise yatharth ko rakhti hai shuddhata aur paimana.
mujhe lagta hai ki kabhi aisi kavita likhi jayegi
jo tatha kathit sabhi upmaon par bhari hogi
jaise raat ke andhere par subah ka ujala. . . !
aisi kavita jo uski deh par nahin
uski dashaon par baat kare
itni pratyaksh ho ki wo badlav laye,
jo mana jaye nihasvarth hokar. !
kabhi to parivartan hogi na
uski khubsurti ke paimane mein. !
sochti hoon aisi kavita to ayegi hi
jo jala degi uski bhitari tamas mein
ummid ka ek chhota sa bhi diya. !
aisi kavitayen nahin hogi vrikshon ki tarah,
jis par phal sadrish lage ho kalpana
ya bandishon ki pahchan
is paridhi se bahar niklegi laDkiyan?
zarur niklegi. . . !
lekin sahare se wo nikal nahin payengi
unhen khud ke bute se khud se hi
nikalna hoga
aisi bad badan vale upmaon ke uupar
apne yatharth aur dashaon vali kavitaon ko
atmavishvas se us par jaD se lagana hoga. . . !
jis tarah ek vyakti ke iimandar hone se
sabhi vyakti iimandar nahin hote
theek usi tarah
ek stri ke bolne se
sabhi striyon ki baat nahin hoti. . . !
apne hisse ki mukti khud se sambhav karogi aap
tabhi jakar ayegi manav itihas men
poorn badlav. . . !!
striyon ko is tarah se Dhak rakha hai upmaon ne
jaise yatharth ko rakhti hai shuddhata aur paimana.
mujhe lagta hai ki kabhi aisi kavita likhi jayegi
jo tatha kathit sabhi upmaon par bhari hogi
jaise raat ke andhere par subah ka ujala. . . !
aisi kavita jo uski deh par nahin
uski dashaon par baat kare
itni pratyaksh ho ki wo badlav laye,
jo mana jaye nihasvarth hokar. !
kabhi to parivartan hogi na
uski khubsurti ke paimane mein. !
sochti hoon aisi kavita to ayegi hi
jo jala degi uski bhitari tamas mein
ummid ka ek chhota sa bhi diya. !
aisi kavitayen nahin hogi vrikshon ki tarah,
jis par phal sadrish lage ho kalpana
ya bandishon ki pahchan
is paridhi se bahar niklegi laDkiyan?
zarur niklegi. . . !
lekin sahare se wo nikal nahin payengi
unhen khud ke bute se khud se hi
nikalna hoga
aisi bad badan vale upmaon ke uupar
apne yatharth aur dashaon vali kavitaon ko
atmavishvas se us par jaD se lagana hoga. . . !
jis tarah ek vyakti ke iimandar hone se
sabhi vyakti iimandar nahin hote
theek usi tarah
ek stri ke bolne se
sabhi striyon ki baat nahin hoti. . . !
apne hisse ki mukti khud se sambhav karogi aap
tabhi jakar ayegi manav itihas men
poorn badlav. . . !!
स्रोत :
रचनाकार : पल्लवी मंडल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.