उठता हूँ,
जीवन के समस्त वैराम्य को विराम देकर
चल भी देता हूँ
स्थिरता के ख़िलाफ़
दबाता हूँ धरती को
गुरुत्वाकर्षण की मदद से।
दिशाओं का आलिंगन यूँ होता है
जैसे अरसे बाद मिले।
और इस प्रकार से बस चल पड़ना होता है।
इस बस चल पड़ने की गतिशीलता में
गति ठहर जाती है
जैसे कि चल ही नहीं रहा हूँ
जबकि रहा हूँ।
जैसे कि बढ़ ही नहीं रहा हूँ
जबकि रहा हूँ
तब सोचता हूँ कि जिन्हें
उठकर कहीं जाना नहीं होता
केदार की तरह
जिसने किसी से नहीं किया होता है वादा
कि मिलूँगा
या जिनकी प्रतीक्षा में
एक जोड़ी आँखें भी नहीं हैं
उनका चलना
यूँ ही होता होगा
कि वे एक ही समय में
चल रहे होते हैं
लेकिन कहीं जा नहीं रहे होते।
uthta hoon,
jiwan ke samast wairamya ko wiram dekar
chal bhi deta hoon
sthirta ke khilaf
dabata hoon dharti ko
gurutwakarshan ki madad se
dishaon ka alingan yoon hota hai
jaise arse baad mile
aur is prakar se bus chal paDna hota hai
is bus chal paDne ki gatishilata mein
gati thahar jati hai
jaise ki chal hi nahin raha hoon
jabki raha hoon
jaise ki baDh hi nahin raha hoon
jabki raha hoon
tab sochta hoon ki jinhen
uthkar kahin jana nahin hota
kedar ki tarah
jisne kisi se nahin kiya hota hai wada
ki milunga
ya jinki pratiksha mein
ek joDi ankhen bhi nahin hain
unka chalna
yoon hi hota hoga
ki we ek hi samay mein
chal rahe hote hain
lekin kahin ja nahin rahe hote
uthta hoon,
jiwan ke samast wairamya ko wiram dekar
chal bhi deta hoon
sthirta ke khilaf
dabata hoon dharti ko
gurutwakarshan ki madad se
dishaon ka alingan yoon hota hai
jaise arse baad mile
aur is prakar se bus chal paDna hota hai
is bus chal paDne ki gatishilata mein
gati thahar jati hai
jaise ki chal hi nahin raha hoon
jabki raha hoon
jaise ki baDh hi nahin raha hoon
jabki raha hoon
tab sochta hoon ki jinhen
uthkar kahin jana nahin hota
kedar ki tarah
jisne kisi se nahin kiya hota hai wada
ki milunga
ya jinki pratiksha mein
ek joDi ankhen bhi nahin hain
unka chalna
yoon hi hota hoga
ki we ek hi samay mein
chal rahe hote hain
lekin kahin ja nahin rahe hote
स्रोत :
रचनाकार : राघवेंद्र शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.