स्त्री ने
अथक श्रम से
ठेल-ठालकर
दिन को पहुँचाया
सूरज की छाया में
और उसे एक किनारे पर रख
दो पल के लिए
लगी सुस्ताने…
पुरुष ने खींच लिया उसे
पलक झपकते ही
अँधेरे के भीतर और
उड़ाने लगा तितलियाँ
उसकी देह पर…
स्त्री ने समाज की गाँठ को बचाने की
अपनी ज़िम्मेवारी का निर्वहन किया
और ढीली कर दी
अपनी अँगुलियों से कमर की गाँठ...
दिन उसकी हाथ से फिसलकर
फिर से आ गया वापस...
स्त्री जुट गई पहुँचाने में
फिर से उसे
सूरज की छाया में...
सजा दिया अपनी वेदना को
सुबह के गुलदान में,
इस बात को जानते हुए
कि उसकी महक
फिर से आमंत्रित करेगी
पुरुष के आदिम राग को...
अनंत काल से स्त्री इसी तरह से
चला रही है सृष्टि का चक्र
stri ne
athak shram se
thel thaal kar
din ko pahunchaya
suraj ki chhaya mein
aur use ek kinare par rakh
do pal ke liye
lagi sustane…
purush ne kheench liya use
palak jhapakte hi
andhere ke bhitar aur
uDane laga titliyan
uski deh par…
stri ne samaj ki gaanth ko bachane ki
apni zimmevari ka nirvhan kiya
aur Dhili kar di
apni anguliyon se kamar ki gaanth. . .
din uski haath se phisalkar
phir se aa gaya vapas. . .
stri jut gai pahunchane men
phir se use
suraj ki chhaya mein. . .
saja diya apni vedna ko
subah ke guldan mein,
is baat ko jante hue
ki uski mahak
phir se amantrit karegi
purush ke aadim raag ko. . .
anant kaal se stri isi tarah se
chala rahi hai srishti ka chakr
stri ne
athak shram se
thel thaal kar
din ko pahunchaya
suraj ki chhaya mein
aur use ek kinare par rakh
do pal ke liye
lagi sustane…
purush ne kheench liya use
palak jhapakte hi
andhere ke bhitar aur
uDane laga titliyan
uski deh par…
stri ne samaj ki gaanth ko bachane ki
apni zimmevari ka nirvhan kiya
aur Dhili kar di
apni anguliyon se kamar ki gaanth. . .
din uski haath se phisalkar
phir se aa gaya vapas. . .
stri jut gai pahunchane men
phir se use
suraj ki chhaya mein. . .
saja diya apni vedna ko
subah ke guldan mein,
is baat ko jante hue
ki uski mahak
phir se amantrit karegi
purush ke aadim raag ko. . .
anant kaal se stri isi tarah se
chala rahi hai srishti ka chakr
स्रोत :
रचनाकार : नीरज नीर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.