ओ बालक, यह तुम्हारी भूल है,
बुराई तो है ही नहीं।
उसकी रचना ईश्वर से हो ही नहीं सकी।
यदि कुछ है तो यह अपूर्णता,
वह भी उतनी ही ख़तरनाक है
जितनी कि वह जिसे हम बुराई कहते हैं।
अंधकार और दैत्त्यों के सम्राट हैं ही नहीं
पर झूठ, क्रोध और मूर्खता की हर हरकत से
हम रचना करते हैं
कुरूप और भयावह असंख्य चीज़ों की।
वे नीच होती हैं और ख़ून की प्यासी।
हमारे पीछे-पीछे आती हैं वे
जिन्हें अपने हाथों रचा होता है हमने,
दिया होता है रूप और आकार।
बढ़ने न देना उनकी संख्या!
तुम्हारी बनाई चीज़ें
तुम्हारा ही भक्षण करने लगेंगी।
सावधान रहना भीड़ के प्रति!
ओ बालक, बहुत कठिन हो गया है जीवन,
याद रखना यह आदेश
तुम्हें जीना है, डरना नहीं है किसी से
स्वतंत्र रहना है और सशक्त।
तभी सफल हो सकोगे प्रेम में।
कुत्सित वस्तुओं को
अच्छाइयाँ पसंद नहीं
वे सूख जाएँगी, नष्ट हो जाएँगी
एक दिन।
o balak, ye tumhari bhool hai,
burai to hai hi nahin.
uski rachna iishvar se ho hi nahin saki.
yadi kuch hai to ye apurnta,
wo bhi utni hi khatarnak hai
jitni ki wo jise hum burai kahte hain.
andhkar aur daittyon ke samrat hain hi nahin
par jhooth, krodh aur murkhata ki har harkat se
hum rachna karte hain
kurup aur bhayavah asankhya chizon ki.
ve neech hoti hain aur khoon ki pyasi.
hamare pichhe pichhe aati hain ve
jinhen apne hathon racha hota hai hamne,
diya hota hai roop aur akar.
baDhne na dena unki sankhya!
tumhari banai chizen
tumhara hi bhakshan karne lagengi.
savdhan rahna bheeD ke prati!
o balak, bahut kathin ho gaya hai jivan,
yaad rakhna ye adesh
tumhein jina hai, Darna nahin hai kisi se
svtantr rahna hai aur sashakt.
tabhi saphal ho sakoge prem mein.
kutsit vastuon ko
achchhaiyan pasand nahin
ve sookh jayengi, nasht ho jayengi
ek din.
o balak, ye tumhari bhool hai,
burai to hai hi nahin.
uski rachna iishvar se ho hi nahin saki.
yadi kuch hai to ye apurnta,
wo bhi utni hi khatarnak hai
jitni ki wo jise hum burai kahte hain.
andhkar aur daittyon ke samrat hain hi nahin
par jhooth, krodh aur murkhata ki har harkat se
hum rachna karte hain
kurup aur bhayavah asankhya chizon ki.
ve neech hoti hain aur khoon ki pyasi.
hamare pichhe pichhe aati hain ve
jinhen apne hathon racha hota hai hamne,
diya hota hai roop aur akar.
baDhne na dena unki sankhya!
tumhari banai chizen
tumhara hi bhakshan karne lagengi.
savdhan rahna bheeD ke prati!
o balak, bahut kathin ho gaya hai jivan,
yaad rakhna ye adesh
tumhein jina hai, Darna nahin hai kisi se
svtantr rahna hai aur sashakt.
tabhi saphal ho sakoge prem mein.
kutsit vastuon ko
achchhaiyan pasand nahin
ve sookh jayengi, nasht ho jayengi
ek din.
स्रोत :
पुस्तक : निकोलाई रेरिख की कविताएँ (पृष्ठ 50)
रचनाकार : निकोलाई रेरिख
प्रकाशन : रेरिख अध्ययन परिषद, नई दिल्ली
संस्करण : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.