मेरी गोद में
समुद्र भर आया है।
गहरे समुद्रतल से सतह तक तैरती आईं
उछलने को तैयार मछलियाँ
तुम्हारी आँखों का कौतूहल है
अपने अनमनेपन में जानती हैं जो—
चाँद एक झुनझुने से बढ़कर कुछ नहीं है।
तुम्हारे आने में कोई कविता नहीं थी
काँप रहा था मैं
घास की अकेली पत्ती जैसे काँपती है
बारिश टूटने से पहले।
अपने शहर में आगंतुक
मैं लगातार दौड़ रहा था
गिर रहा था धड़ाम-धड़ाम
सड़क के गड्ढों में
अस्पताल के बिस्तर पर
बादलों के पीछे कहीं
अट्ठारह घंटे प्रसव के बाद
बाहर आया था तुम्हारा सिर
बहुत साफ़ और नाज़ुक चीज़
चेहरे पर ज़िद लिए
और थकान
और सुकून…
तुम कमरे में सबसे छोटी थीं
जिससे सब डरे हुए थे
मुलायम गमछे में लिपटी
अब तुम महफ़ूज़ हो
दूध से भरी हुई
डकारती, हिचकियाँ लेती
बड़ी हो रही हो लगातार
कनखियों से देखती हो मुझे
पूछती हो उँगली पकड़कर
मुझसे मेरा परिचय।
मेरे हृदय में
पेड़ उग आया है
तितलियों की तरह मेरी बाँह में मँडरा रहे हैं
तुम्हारे पैरों के निशान
अपनी भाषा में समझा रही हो तुम मुझे
कि तिलिस्मी कहानियों में
जिन्न को क्या चाहिए होता है
कि बिना आँसू बहाए रोना
सबसे अच्छा रोना है
कि इस ऊबड़-खाबड़ पृथ्वी में
गोद से समतल जगह नहीं
डोलते सिर पर
टिकी रहती हैं एकटक आँखें
घुमाती हुई दोनों हाथों की उँगलियाँ
तुम हवा में बनाती हो टाइम-मशीन का ढाँचा
जिसे आधा समझाकर
सो जाती हो
गीली मिट्टी की तरह
मेरे हाथों में धँस गई है
तुम्हारी नींद।
meri god mein
samudr bhar aaya hai
gahre samudrtal se satah tak tairti ain
uchhalne ko taiyar machhliyan
tumhari ankhon ka kautuhal hai
apne anamnepan mein janti hain jo—
chand ek jhunjhune se baDhkar kuch nahin hai
tumhare aane mein koi kawita nahin thi
kanp raha tha main
ghas ki akeli patti jaise kanpti hai
barish tutne se pahle
apne shahr mein agantuk
main lagatar dauD raha tha
gir raha tha dhaDam dhaDam
saDak ke gaDDhon mein
aspatal ke bistar par
badlon ke pichhe kahin
attharah ghante prasaw ke baad
bahar aaya tha tumhara sir
bahut saf aur nazuk cheez
chehre par zid liye
aur thakan
aur sukun…
tum kamre mein sabse chhoti theen
jisse sab Dare hue the
mulayam gamchhe mein lipti
ab tum mahfuz ho
doodh se bhari hui
Dakarti, hichkiyan leti
baDi ho rahi ho lagatar
kanakhiyon se dekhti ho mujhe
puchhti ho ungli pakaDkar
mujhse mera parichai
mere hirdai mein
peD ug aaya hai
titaliyon ki tarah meri banh mein manDara rahe hain
tumhare pairon ke nishan
apni bhasha mein samjha rahi ho tum mujhe
ki tilismi kahaniyon mein
jinn ko kya chahiye hota hai
ki bina ansu bahaye rona
sabse achchha rona hai
ki is ubaD khabaD prithwi mein
god se samtal jagah nahin
Dolte sir par
tiki rahti hain ektak ankhen
ghumati hui donon hathon ki ungliyan
tum hawa mein banati ho time machine ka Dhancha
jise aadha samjhakar
so jati ho
gili mitti ki tarah
mere hathon mein dhans gai hai
tumhari neend
meri god mein
samudr bhar aaya hai
gahre samudrtal se satah tak tairti ain
uchhalne ko taiyar machhliyan
tumhari ankhon ka kautuhal hai
apne anamnepan mein janti hain jo—
chand ek jhunjhune se baDhkar kuch nahin hai
tumhare aane mein koi kawita nahin thi
kanp raha tha main
ghas ki akeli patti jaise kanpti hai
barish tutne se pahle
apne shahr mein agantuk
main lagatar dauD raha tha
gir raha tha dhaDam dhaDam
saDak ke gaDDhon mein
aspatal ke bistar par
badlon ke pichhe kahin
attharah ghante prasaw ke baad
bahar aaya tha tumhara sir
bahut saf aur nazuk cheez
chehre par zid liye
aur thakan
aur sukun…
tum kamre mein sabse chhoti theen
jisse sab Dare hue the
mulayam gamchhe mein lipti
ab tum mahfuz ho
doodh se bhari hui
Dakarti, hichkiyan leti
baDi ho rahi ho lagatar
kanakhiyon se dekhti ho mujhe
puchhti ho ungli pakaDkar
mujhse mera parichai
mere hirdai mein
peD ug aaya hai
titaliyon ki tarah meri banh mein manDara rahe hain
tumhare pairon ke nishan
apni bhasha mein samjha rahi ho tum mujhe
ki tilismi kahaniyon mein
jinn ko kya chahiye hota hai
ki bina ansu bahaye rona
sabse achchha rona hai
ki is ubaD khabaD prithwi mein
god se samtal jagah nahin
Dolte sir par
tiki rahti hain ektak ankhen
ghumati hui donon hathon ki ungliyan
tum hawa mein banati ho time machine ka Dhancha
jise aadha samjhakar
so jati ho
gili mitti ki tarah
mere hathon mein dhans gai hai
tumhari neend
स्रोत :
रचनाकार : सौरभ राय
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.