डूबते सूरज की जानिब उछालना
किसी अतृप्त चाहना के पुर्ज़ों को
ग़लत पते पर लिखे
ख़त के जवाब का
बेतरह इंतिज़ार करना
आत्मा को तापना
कामना के सुनहरे हो जाने तक
देह को उतार कर लिबास की तरह
कुछ देर
अपने पसंदीदा आले में सुस्ताने देना
याद को खींचना
सिगरेट के धुएँ की तरह
हलक़ को जलने देना
आँखों की कोरों में प्रार्थना को पकने देना
रूठ कर जाना पतझड़ की तरह
नए गुलाबी वसंत की तरह लौट आना
तितली के कोमल पंखों की तरह
मेरी देह में उगना
मेरे पैरों में डालकर ताबीज़ी धागे
ले चलना
मृत्यु के अनंत उत्सव तक मुझे
तुम मेरे लिए इतना करना
मेरा हाथ थामकर
अकेलेपन से उकताए ईश्वर की
पेशानी चूमकर उसे शुक्रिया कहना।
Dubte suraj ki janib uchhalna
kisi atrpt chahna ke purzon ko
ghalat pate par likhe
khat ke jawab ka
betarah intizar karna
atma ko tapna
kamna ke sunahre ho jane tak
deh ko utar kar libas ki tarah
kuch der
apne pasandida aale mein sustane dena
yaad ko khinchna
cigarette ke dhuen ki tarah
halaq ko jalne dena
ankhon ki koron mein pararthna ko pakne dena
rooth kar jana patjhaD ki tarah
nae gulabi wasant ki tarah laut aana
titli ke komal pankhon ki tarah
meri deh mein ugna
mere pairon mein Dalkar tabizi dhage
le chalna
mirtyu ke anant utsaw tak mujhe
tum mere liye itna karna
mera hath thamkar
akelepan se uktaye ishwar ki
peshani chumkar use shukriya kahna
Dubte suraj ki janib uchhalna
kisi atrpt chahna ke purzon ko
ghalat pate par likhe
khat ke jawab ka
betarah intizar karna
atma ko tapna
kamna ke sunahre ho jane tak
deh ko utar kar libas ki tarah
kuch der
apne pasandida aale mein sustane dena
yaad ko khinchna
cigarette ke dhuen ki tarah
halaq ko jalne dena
ankhon ki koron mein pararthna ko pakne dena
rooth kar jana patjhaD ki tarah
nae gulabi wasant ki tarah laut aana
titli ke komal pankhon ki tarah
meri deh mein ugna
mere pairon mein Dalkar tabizi dhage
le chalna
mirtyu ke anant utsaw tak mujhe
tum mere liye itna karna
mera hath thamkar
akelepan se uktaye ishwar ki
peshani chumkar use shukriya kahna
स्रोत :
रचनाकार : सपना भट्ट
प्रकाशन : इबारत वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.