रह रह कर तहों से
रिस आता है शोक
घटाटोप में स्तब्ध धरती
रह रह कर सिहरती है जैसे
एक और स्तंभ ढहता है
एक और उजाड़
मुँह फाड़े उग आता है
अकथ धाराएँ कंदराएँ स्मृतियाँ उगलती हैं
एक सुई धँसी मिलती है
अमर भंगुरता के रहस्य की नस में
नीम बेहोशी या आधी जाग
जहाँ से भी देखूँ
यह वृत्त अछोर ही रहता है
एक कुआँ आँख फाड़े अपनी
तल से आकाश को देखता है
एक आकाश उस कुएँ में समा जाना चाहता है
निर्वात का यह बंजर मौन
साँस के अँधेरे में
देह के भोजपत्र पर
किसी आदिम लिपि में लिखता है
एक अक्षर अंत का
तुम्हारी जीवनी स्मृति में भर कर
हम उसमें पढ़ते हैं
अन्-अंत।
rah rah kar tahon se
ris aata hai shok
ghatatop mein stabdh dharti
rah rah kar siharti hai jaise
ek aur stambh Dhahta hai
ek aur ujaD
munh phaDe ug aata hai
akath dharayen kandrayen smritiyan ugalti hain
ek sui dhansi milti hai
amar bhangurta ke rahasy ki nas mein
neem behoshi ya aadhi jag
jahan se bhi dekhun
ye writt achhor hi rahta hai
ek kuan ankh phaDe apni
tal se akash ko dekhta hai
ek akash us kuen mein sama jana chahta hai
nirwat ka ye banjar maun
sans ke andhere mein
deh ke bhojpatr par
kisi aadim lipi mein likhta hai
ek akshar ant ka
tumhari jiwani smriti mein bhar kar
hum usmen paDhte hain
an ant
rah rah kar tahon se
ris aata hai shok
ghatatop mein stabdh dharti
rah rah kar siharti hai jaise
ek aur stambh Dhahta hai
ek aur ujaD
munh phaDe ug aata hai
akath dharayen kandrayen smritiyan ugalti hain
ek sui dhansi milti hai
amar bhangurta ke rahasy ki nas mein
neem behoshi ya aadhi jag
jahan se bhi dekhun
ye writt achhor hi rahta hai
ek kuan ankh phaDe apni
tal se akash ko dekhta hai
ek akash us kuen mein sama jana chahta hai
nirwat ka ye banjar maun
sans ke andhere mein
deh ke bhojpatr par
kisi aadim lipi mein likhta hai
ek akshar ant ka
tumhari jiwani smriti mein bhar kar
hum usmen paDhte hain
an ant
स्रोत :
रचनाकार : तुषार धवल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.