कोई तो है
जो अँधेरी रात की ओट लेकर
घर के आस-पास घूम रहा है
कोई तो है
जो फ़िराक़ में है कि
कब घर के लोग सोएँ
कब वह घर में घुसे
कोई तो है
जो अँधेरी रात के बावजूद
देख रहा है साफ़-साफ़
किसी तेज़-तर्रार उल्लू की तरह
कि मैं कहाँ सोया हूँ
मेरी पत्नी कहाँ सोई है
मेरी माँ कहाँ सोई है
और कहाँ सोई है मेरी विधवा बहिन
ढेले की आवाज़ आती है मेरे कानों में
जैसे आश्वस्त हो रहा है कोई चोर
डाका डालने से पहले
कि हम अभी सो चुके हैं या नहीं
ये आवाज़ें मेरे कान खड़े करती हैं
पर मैं ठहर जाता हूँ
एक चालाक सिपाही की तरह
कि आज रँगे हाथों पकड़ूँगा उसे
ख़ुद को सही साबित करूँगा
सो झूट-मूट सोने का नाटक करता हूँ
ऐसा लगता है कि वह आ गया है
खड़ा है चौक में सो रही विधवा बहिन के पास
दोनों की खुसर-पुसर से ग़ुस्सा आता है मुझे
लगता है दोनों को मिलन की बेहद ख़ुशी है
ख़ुशी जो मेरे नथुने फड़फड़ा रही है
मैं बग़ल में पड़ी लाठी उठाता हूँ
बहिन की खाट पर ज़ोर से तानता हूँ
देखता हूँ कि बहिन सरणाटे से सो रही है
हालाँकि उसके कपड़े बेतरतीब हो रखे हैं
मैं उसे कम्बल ओढ़ाता हूँ
बहिन नींद में ज़ोर से हँसती है
मैं ज़मीन में धँस जाता हूँ शर्म से
झुँझलाकर कोने में लाठी पटकता हूँ
और आ पड़ता हूँ अपनी खाट पर।
koi to hai
jo andheri raat ki ot lekar
ghar ke aas pas ghoom raha hai
koi to hai
jo firaq mein hai ki
kab ghar ke log soen
kab wo ghar mein ghuse
koi to hai
jo andheri raat ke bawjud
dekh raha hai saf saf
kisi tez tarrar ullu ki tarah
ki main kahan soya hoon
meri patni kahan soi hai
meri man kahan soi hai
aur kahan soi hai meri widhwa bahin
Dhele ki awaz aati hai mere kanon mein
jaise ashwast ho raha hai koi chor
Daka Dalne se pahle
ki hum abhi so chuke hain ya nahin
ye awazen mere kan khaDe karti hain
par main thahar jata hoon
ek chalak sipahi ki tarah
ki aaj range hathon pakDunga use
khu ko sahi sabit karunga
so jhoot moot sone ka natk karta hoon
aisa lagta hai ki wo aa gaya hai
khaDa hai chauk mein so rahi widhwa bahin ke pas
donon ki khusar pusar se ghussa aata hai mujhe
lagta hai donon ko milan ki behad khushi hai
khushi jo mere nathune phaDphaDa rahi hai
main baghal mein paDi lathi uthata hoon
bahin ki khat par zor se tanta hoon
dekhta hoon ki bahin sarnate se so rahi hai
halanki uske kapDe betartib ho rakhe hain
main use kambal oDhata hoon
bahin neend mein zor se hansti hai
main zamin mein dhans jata hoon sharm se
jhunjhlakar kone mein lathi patakta hoon
aur aa paDta hoon apni khat par
koi to hai
jo andheri raat ki ot lekar
ghar ke aas pas ghoom raha hai
koi to hai
jo firaq mein hai ki
kab ghar ke log soen
kab wo ghar mein ghuse
koi to hai
jo andheri raat ke bawjud
dekh raha hai saf saf
kisi tez tarrar ullu ki tarah
ki main kahan soya hoon
meri patni kahan soi hai
meri man kahan soi hai
aur kahan soi hai meri widhwa bahin
Dhele ki awaz aati hai mere kanon mein
jaise ashwast ho raha hai koi chor
Daka Dalne se pahle
ki hum abhi so chuke hain ya nahin
ye awazen mere kan khaDe karti hain
par main thahar jata hoon
ek chalak sipahi ki tarah
ki aaj range hathon pakDunga use
khu ko sahi sabit karunga
so jhoot moot sone ka natk karta hoon
aisa lagta hai ki wo aa gaya hai
khaDa hai chauk mein so rahi widhwa bahin ke pas
donon ki khusar pusar se ghussa aata hai mujhe
lagta hai donon ko milan ki behad khushi hai
khushi jo mere nathune phaDphaDa rahi hai
main baghal mein paDi lathi uthata hoon
bahin ki khat par zor se tanta hoon
dekhta hoon ki bahin sarnate se so rahi hai
halanki uske kapDe betartib ho rakhe hain
main use kambal oDhata hoon
bahin neend mein zor se hansti hai
main zamin mein dhans jata hoon sharm se
jhunjhlakar kone mein lathi patakta hoon
aur aa paDta hoon apni khat par
स्रोत :
रचनाकार : विजय राही
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.