इतिहास की तारीख़ों से जटिल है प्रेम
मिलने की तारीख़ याद रखो
तो बिछड़ने की तारीख़ भूल जाती है
प्रेम में यक़ीन किसी मेमने-सी छाती पर सिर टिकाए सुनता है हमारी बात
हमारी बातों में आए शहर मुस्कुराते हैं
हम मिलने की अगली योजना
कभी इस शहर कभी उस शहर बनाते हैं
मैं सोचती हूँ यूँ तो कितने ही यात्री एक ही ट्रेन के सवार होते होंगे
कितनी ही खुली खिड़कियों से भागता आसमान तक रहे होंगे
पर किसी मुलाक़ात की ओर बढ़े प्रेमी
बेचैन घड़ी में समय की तरह टूट रहे होंगे
बार-बार अपनी टिकिट पर देख रहे होंगे शहर का नाम
बार-बार मुस्कुराहट छुपा रहे होंगे
तुमसे मिलने आना सुखद था मेरी जान!
मैं हवा के पंख पर सवार थी
मैं सच बताऊँ तो ठीक इस पल मर जाने की कल्पना की
मैं जानती थी इस विराट मुस्कुराहट के आगे सब छोटा है
प्यार में आसान मन होना चाहिए
बेख़ौफ़ भीड़ को धता बता कस लेनी चाहिए बाँहें
चूम लेने चाहिए होंठ
ज़ोर से हाथ थामे देर तक मिलने के एहसास से तर होने देना चाहिए मन को
नज़र को उदास बिछड़न में डूब जाना चाहिए
इस लंबे और डूबते विछोह में बचा लेना चाहिए प्यार को
किसी और तारीख़ के लिए
itihas ki tarikhon se jatil hai prem
milne ki tarikh yaad rakho
to bichhaDne ki tarikh bhool jati hai
prem mein yaqin kisi memne si chhati par sir tikaye sunta hai hamari baat
hamari baton mein aaye shahr muskurate hain
hum milne ki agli yojna
kabhi is shahr kabhi us shahr banate hain
main sochti hoon yoon to kitne hi yatri ek hi train ke sawar hote honge
kitni hi khuli khiDakiyon se bhagta asman tak rahe honge
par kisi mulaqat ki or baDhe premi
bechain ghaDi mein samay ki tarah toot rahe honge
bar bar apni tikit par dekh rahe honge shahr ka nam
bar bar muskurahat chhupa rahe honge
tumse milne aana sukhad tha meri jaan!
main hawa ke pankh par sawar thi
main sach bataun to theek is pal mar jane ki kalpana ki
main janti thi is wirat muskurahat ke aage sab chhota hai
pyar mein asan man hona chahiye
bekhauf bheeD ko dhata bata kas leni chahiye banhen
choom lene chahiye honth
zor se hath thame der tak milne ke ehsas se tar hone dena chahiye man ko
nazar ko udas bichhDan mein Doob jana chahiye
is lambe aur Dubte wichhoh mein bacha lena chahiye pyar ko
kisi aur tarikh ke liye

स्रोत :
रचनाकार : शैलजा पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.