गर्मियों में लगभग सूख जाती है नदी
पुल पर खड़े होकर देखो तो
एकसार दिखाई देते हैं दोनों ओर के दो पाट
जहाँ होना चाहिए था जल वहाँ अब रेत है
जहाँ होना चाहिए था जलचर को विहार करते
वहाँ अब काँस है सरपत है और उड़ती हुई धूल है
यह लगभग सूखना शब्द भी इतना क्रूर है
कि इसे मान लिया जाना चाहिए सूख जाने का पर्याय
मैं चुपचाप शब्दकोश उठाता हूँ
और काट देता हूँ सदानीरा शब्द को लगभग निर्दयता से
काग़ज़ की काया पर फैल जाती है एक लाल लकीर
जैसे कि धीरे-धीरे रिस रहा हो रक्त
नदी को सबसे ज़्यादा प्रतीक्षा रहती थी कभी बारिश की
बारिश को देख कर कभी उमगता था नदी का मन
अब जबकि शुष्क होते चले गए हैं सारे कुएँ
पाट कर मकान बना दिए गए हैं सब ताल-पोखर
तबसे बारिश है कि वह हो गई है लगभग बारिश
मेघ हो गए हैं लगभग मेघ
और मैं चिंतित हूँ कि किसी दिन अचानक ही
कंठ में अटकी हुई भाषा भी न हो जाए लगभग भाषा
मैं एक सूखी हुई हुई नदी के बेमक़सद पुल पर
उम्मीद की पतंगों का गट्ठर लिए खड़ा हूँ
यह एक आदिम ज़िद की अकड़ है या कि कुछ और
आसमान में पूरी बेशर्मी से
चमक रहा है दुपहर का दर्प भरा सूर्य
हवा ठिठकी हुई है किसी अनिष्ट के भय से
फिर भी नदी है कि बार-बार दे रही है दिलासा
मैं फिर से उठाता हूँ शब्दकोश
नदी शब्द का एक और अर्थ दिखता है—आशा!
garmiyon mein lagbhag sookh jati hai nadi
pul par khaDe hokar dekho to
eksar dikhai dete hain donon or ke do pat
jahan hona chahiye tha jal wahan ab ret hai
jahan hona chahiye tha jalchar ko wihar karte
wahan ab kans hai sarpat hai aur uDti hui dhool hai
ye lagbhag sukhna shabd bhi itna kroor hai
ki ise man liya jana chahiye sookh jane ka paryay
main chupchap shabdkosh uthata hoon
aur kat deta hoon sadanira shabd ko lagbhag nirdayta se
kaghaz ki kaya par phail jati hai ek lal lakir
jaise ki dhire dhire ris raha ho rakt
nadi ko sabse zyada pratiksha rahti thi kabhi barish ki
barish ko dekh kar kabhi umagta tha nadi ka man
ab jabki shushk hote chale gaye hain sare kuen
pat kar makan bana diye gaye hain sab tal pokhar
tabse barish hai ki wo ho gai hai lagbhag barish
megh ho gaye hain lagbhag megh
aur main chintit hoon ki kisi din achanak hi
kanth mein atki hui bhasha bhi na ho jaye lagbhag bhasha
main ek sukhi hui hui nadi ke bemaqsad pul par
ummid ki patangon ka gatthar liye khaDa hoon
ye ek aadim zid ki akaD hai ya ki kuch aur
asman mein puri besharmi se
chamak raha hai duphar ka darp bhara surya
hawa thithki hui hai kisi anisht ke bhay se
phir bhi nadi hai ki bar bar de rahi hai dilasa
main phir se uthata hoon shabdkosh
nadi shabd ka ek aur arth dikhta hai—asha!

स्रोत :
रचनाकार : सिद्धेश्वर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.